title
stringlengths
22
123
content
stringlengths
76
2.65k
be-thikaane-hai-dil-e-gam-ghiin-thikaane-kii-kaho-firaq-gorakhpuri-ghazals
be-Thikāne hai dil-e-ġham-ghīñ Thikāne kī kaho shām-e-hijrāñ dosto kuchh is ke aane kī kaho haañ na pūchh ik giraftār-e-qafas kī zindagī ham-safīrān-e-chaman kuchh āshiyāne kī kaho uḌ gayā hai manzil-e-dushvār meñ ġham kā samand gesū-e-pur-pech-o-ḳham ke tāziyāne kī kaho baat bantī aur bātoñ se nazar aatī nahīñ is nigāh-e-nāz kī bāteñ banāne kī kaho dāstāñ vo thī jise dil bujhte bujhte kah gayā sham-e-bazm-e-zindagī ke jhilmilāne kī kaho kuchh dil-e-marhūm kī bāteñ karo ai ahl-e-ilm jis se vīrāne the ābād us divāne kī kaho dāstān-e-zindagī bhī kis qadar dilchasp hai jo azal se chhiḌ gayā hai us fasāne kī kaho ye fusūn-e-nīm-e-shab ye ḳhvāb-sāmāñ ḳhāmushī sāmrī fan aañkh ke jaadū jagāne kī kaho koī kyā khā.egā yuuñ sachchī qasam jhūTī qasam us nigāh-e-nāz kī saugandh khāne kī kaho shaam hī se gosh-bar-āvāz hai bazm-e-suḳhan kuchh 'firāq' apnī sunāo kuchh zamāne kī kaho
bahsen-chhidii-huii-hain-hayaat-o-mamaat-kii-firaq-gorakhpuri-ghazals
bahseñ chhiḌī huī haiñ hayāt-o-mamāt kī sau baat ban ga.ī hai 'firāq' ek baat kī sāz-navā-e-dard hijābāt-e-dahr meñ kitnī dukhī huī haiñ rageñ kā.enāt kī rakh lī jinhoñ ne kashmakash-e-zindagī kī laaj be-dardiyāñ na pūchhiye un se hayāt kī yuuñ fart-e-be-ḳhudī se mohabbat meñ jaan de tujh ko bhī kuchh ḳhabar na ho is vārdāt kī hai ishq us tabassum-e-jāñ-baḳhsh kā shahīd rañgīniyāñ liye hai jo sub.h-e-hayāt kī chheḌā hai dard-e-ishq ne tār-e-rag-e-adam sūrat pakaḌ chalī haiñ navā.eñ hayāt kī shām-e-abad ko jalva-e-sub.h-e-bahār de rūdād chheḌ zindagī-e-be-sabāt kī us bazm-e-be-ḳhudī meñ vajūd-e-adam kahāñ chaltī nahīñ hai saañs hayāt-o-mamāt kī sau dard ik tabassum-e-pinhāñ meñ band haiñ tasvīr huuñ 'firāq' nashāt-e-hayāt kī
aaj-bhii-qaafila-e-ishq-ravaan-hai-ki-jo-thaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
aaj bhī qāfila-e-ishq ravāñ hai ki jo thā vahī miil aur vahī sañg-e-nishāñ hai ki jo thā phir tirā ġham vahī rusvā-e-jahāñ hai ki jo thā phir fasāna ba-hadīs-e-digrāñ hai ki jo thā manzileñ gard ke mānind uḌī jaatī haiñ vahī andāz-e-jahān-e-guzarāñ hai ki jo thā zulmat o nuur meñ kuchh bhī na mohabbat ko milā aaj tak ek dhundalke kā samāñ hai ki jo thā yuuñ to is daur meñ be-kaif sī hai bazm-e-hayāt ek hañgāma sar-e-ritl-e-girāñ hai ki jo thā laakh kar jaur-o-sitam laakh kar ehsān-o-karam tujh pe ai dost vahī vahm-o-gumāñ hai ki jo thā aaj phir ishq do-ālam se judā hotā hai āstīnoñ meñ liye kaun-o-makāñ hai ki jo thā ishq afsurda nahīñ aaj bhī afsurda bahut vahī kam kam asr-e-soz-e-nihāñ hai ki jo thā nazar aa jaate haiñ tum ko to bahut nāzuk baal dil mirā kyā vahī ai shīsha-girāñ hai ki jo thā jaan de baiThe the ik baar havas vaale bhī phir vahī marhala-e-sūd-o-ziyāñ hai ki jo thā aaj bhī said-gah-e-ishq meñ husan-e-saffāk liye abrū kī lachaktī sī kamāñ hai ki jo thā phir tirī chashm-e-suḳhan-sanj ne chheḌī koī baat vahī jaadū hai vahī husn-e-bayāñ hai ki jo thā raat bhar husn par aa.e bhī ga.e sau sau rañg shaam se ishq abhī tak nigarāñ hai ki jo thā jo bhī kar jaur-o-sitam jo bhī kar ehsān-o-karam tujh pe ai dost vahī vahm-o-gumāñ hai ki jo thā aañkh jhapkī ki idhar ḳhatm huā roz-e-visāl phir bhī is din pe qayāmat kā gumāñ hai ki jo thā qurb hī kam hai na duurī hī ziyāda lekin aaj vo rabt kā ehsās kahāñ hai ki jo thā tīra-baḳhtī nahīñ jaatī dil-e-sozāñ kī 'firāq' sham.a ke sar pe vahī aaj dhuāñ hai ki jo thā
tumhen-kyuunkar-bataaen-zindagii-ko-kyaa-samajhte-hain-firaq-gorakhpuri-ghazals
tumheñ kyūñkar batā.eñ zindagī ko kyā samajhte haiñ samajh lo saañs lenā ḳhud-kushī karnā samajhte haiñ kisī badmast ko rāz-āshnā sab kā samajhte haiñ nigāh-e-yār tujh ko kyā batā.eñ kyā samajhte haiñ bas itne par hameñ sab log dīvāna samajhte haiñ ki is duniyā ko ham ik dūsrī duniyā samajhte haiñ kahāñ kā vasl tanhā.ī ne shāyad bhes badlā hai tire dam bhar ke mil jaane ko ham bhī kyā samajhte haiñ umīdoñ meñ bhī un kī ek shān-e-be-niyāzī hai har āsānī ko jo dushvār ho jaanā samajhte haiñ yahī zid hai to ḳhair āñkheñ uThāte haiñ ham us jānib magar ai dil ham is meñ jaan kā khaTkā samajhte haiñ kahīñ hoñ tere dīvāne Thahar jaa.eñ to zindāñ hai jidhar ko muñh uThā kar chal paḌe sahrā samajhte haiñ jahāñ kī fitrat-e-begāna meñ jo kaif-e-ġham bhar deñ vahī jiinā samajhte haiñ vahī marnā samajhte haiñ hamārā zikr kyā ham ko to hosh aayā mohabbat meñ magar ham qais kā dīvāna ho jaanā samajhte haiñ na shoḳhī shoḳh hai itnī na purkār itnī purkārī na jaane log terī sādgī ko kyā samajhte haiñ bhulā diiñ ek muddat kī jafā.eñ us ne ye kah kar tujhe apnā samajhte the tujhe apnā samajhte haiñ ye kah kar ābla-pā rauñdte jaate haiñ kāñToñ ko jise talvoñ meñ kar leñ jazb use sahrā samajhte haiñ ye hastī nīstī sab mauj-ḳhezī hai mohabbat kī na ham qatra samajhte haiñ na ham dariyā samajhte haiñ 'firāq' is gardish-e-ayyām se kab kaam niklā hai sahar hone ko bhī ham raat kaT jaanā samajhte haiñ
tez-ehsaas-e-khudii-darkaar-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
tez ehsās-e-ḳhudī darkār hai zindagī ko zindagī darkār hai jo chaḌhā jaa.e ḳhumistān-e-jahāñ haañ vahī lab-tishnagī darkār hai devtāoñ kā ḳhudā se hogā kaam aadmī ko aadmī darkār hai sau gulistāñ jis udāsī par nisār mujh ko vo afsurdagī darkār hai shā.erī hai sar-basar tahzīb-e-qalb us ko ġham shā.istagī darkār hai sho.ala meñ laatā hai jo soz-o-gudāz vo ḳhulūs-e-bātnī darkār hai ḳhūbī-e-lafz-o-bayāñ se kuchh sivā shā.erī ko sāhirī darkār hai qādir-e-mutlaq ko bhī insān kī sunte haiñ be-chārgī darkār hai aur hoñge tālib-e-mad.h-e-jahāñ mujh ko bas terī ḳhushī darkār hai aql meñ yuuñ to nahīñ koī kamī ik zarā dīvāngī darkār hai hosh vāloñ ko bhī merī raa.e meñ ek guuna be-ḳhudī darkār hai ḳhatrā-e-bisyār-dānī kī qasam ilm meñ bhī kuchh kamī darkār hai dosto kaafī nahīñ chashm-e-ḳhirad ishq ko bhī raushnī darkār hai merī ġhazloñ meñ haqā.eq haiñ faqat aap ko to shā.erī darkār hai tere paas aayā huuñ kahne ek baat mujh ko terī dostī darkār hai maiñ jafāoñ kā na kartā yuuñ gila aaj terī nā-ḳhushī darkār hai us kī zulf ārāsta-pairāsta ik zarā sī barhamī darkār hai zinda-dil thā tāza-dam thā hijr meñ aaj mujh ko be-dilī darkār hai halqa halqa gesū-e-shab rañg-e-yār mujh ko terī abtarī darkār hai aql ne kal mere kānoñ meñ kahā mujh ko terī zindagī darkār hai tez-rau tahzīb-e-ālam ko 'firāq' ik zarā āhistagī darkār hai
tuur-thaa-kaaba-thaa-dil-thaa-jalva-zaar-e-yaar-thaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
tuur thā ka.aba thā dil thā jalva-zār-e-yār thā ishq sab kuchh thā magar phir ālam-e-asrār thā nashsha-e-sad-jām kaif-e-intizār-e-yār thā hijr meñ Thahrā huā dil sāġhar-e-sarshār thā alvidā.a ai bazm-e-anjum hijr kī shab al-firāq tā-ba-daur-e-zindagānī intizār-e-yār thā ek adā se be-niyāz-e-qurb-o-dūrī kar diyā māvrā-e-vasl-o-hijrāñ husn kā iqrār thā jauhar-e-ā.īna-e-ālam bane aañsū mire yuuñ to sach ye hai ki ronā ishq meñ bekār thā shoḳhī-e-raftār vaj.h-e-hastī-e-barbād thī zindagī kyā thī ġhubār-e-rahguzār-e-yār thā ulfat-e-derīna kā jab zikr ishāroñ meñ kiyā muskurā kar mujh se pūchhā tum ko kis se pyaar thā dil-dukhe ro.e haiñ shāyad is jagah ai kū-e-dost ḳhaak kā itnā chamak jaanā zarā dushvār thā zarra zarra aa.ina thā ḳhud-numā.ī kā 'firāq' sar-ba-sar sahrā-e-ālam jalva-zār-e-yār thā
ik-roz-hue-the-kuchh-ishaaraat-khafii-se-firaq-gorakhpuri-ghazals
ik roz hue the kuchh ishārāt ḳhafī se āshiq haiñ ham us nargis-e-rānā ke jabhī se karne ko haiñ duur aaj to tau ye rog hī jī se ab rakkheñge ham pyaar na tum se na kisī se ahbāb se rakhtā huuñ kuchh ummīd-e-sharāfat rahte haiñ ḳhafā mujh se bahut log isī se kahtā huuñ use maiñ to ḳhusūsiyyat-e-pinhāñ kuchh tum ko shikāyat hai kasī se to mujhī se ash.ār nahīñ haiñ ye mirī ruuh kī hai pyaas jaarī hue sar-chashme mirī tishna-labī se aañsū ko mire khel tamāshā na samajhnā kaT jaatā hai patthar isī hiire kī kanī se yād-e-lab-e-jānāñ hai charāġh-e-dil-e-ranjūr raushan hai ye ghar aaj usī la.al-e-yamanī se aflāk kī mehrāb hai aa.ī huī añgḌā.ī be-kaif kuchh āfāq kī a.azā-shikanī se kuchh zer-e-lab alfāz khanakte haiñ fazā meñ gūñjī huī hai bazm tirī kam-suḳhanī se aaj anjuman-e-ishq nahīñ anjuman-e-ishq kis darja kamī bazm meñ hai terī kamī se is vādī-e-vīrāñ meñ hai sar-chashma-e-dil bhī hastī mirī sairāb hai āñkhoñ kī namī se ḳhud mujh ko bhī tā-der ḳhabar ho nahīñ paa.ī aaj aa.ī tirī yaad is āhista-ravī se vo DhūñDhne niklī hai tirī nik.hat-e-gesū ik roz milā thā maiñ nasīm-e-saharī se sab kuchh vo dilā de mujhe sab kuchh vo banā de ai dost nahīñ duur tirī kam-nigahī se mī.ād-e-davām-o-abad ik niiñd hai us kī ham muntahī-e-jalva-e-jānāñ haiñ abhī se ik dil ke sivā paas hamāre nahīñ kuchh bhī jo kaam ho le lete haiñ ham log isī se ma.alūm huā aur hai ik ālam-e-asrār ā.īna-e-hastī kī pareshāñ-nazarī se is se to kahīñ baiTh rahe toḌ ke ab paaoñ mil jaa.e najāt ishq ko is dar-ba-darī se rahtā huuñ 'firāq' is liye vārafta ki duniyā kuchh hosh meñ aa jaa.e mirī be-ḳhabarī se
zindagii-dard-kii-kahaanii-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
zindagī dard kī kahānī hai chashm-e-anjum meñ bhī to paanī hai be-niyāzāna sun liyā ġham-e-dil mehrbānī hai mehrbānī hai vo bhalā merī baat kyā maane us ne apnī bhī baat maanī hai shola-e-dil hai ye ki sho.ala-sāz yā tirā shola-e-javānī hai vo kabhī rañg vo kabhī ḳhushbū gaah gul gaah rāt-rānī hai ban ke ma.asūm sab ko taaḌ ga.ī aañkh us kī baḌī siyānī hai āp-bītī kaho ki jag-bītī har kahānī mirī kahānī hai donoñ aalam haiñ jis ke zer-e-nagīñ dil usī ġham kī rājdhānī hai ham to ḳhush haiñ tirī jafā par bhī be-sabab terī sargirānī hai sar-ba-sar ye farāz-e-mahr-o-qamar terī uThtī huī javānī hai aaj bhī sun rahe haiñ qissa-e-ishq go kahānī bahut purānī hai zabt kiije to dil hai añgārā aur agar roiye to paanī hai hai Thikānā ye dar hī us kā bhī dil bhī terā hī āstānī hai un se aise meñ jo na ho jaa.e nau-javānī hai nau-javānī hai dil mirā aur ye ġham-e-duniyā kyā tire ġham kī pāsbānī hai gardish-e-chashm-e-sāqī-e-daurāñ daur-e-aflāk kī bhī paanī hai ai lab-e-nāz kyā haiñ vo asrār ḳhāmushī jin kī tarjumānī hai mai-kadoñ ke bhī hosh uḌne lage kyā tirī aañkh kī javānī hai ḳhud-kushī par hai aaj āmāda are duniyā baḌī divānī hai koī iz.hār-e-nā-ḳhushī bhī nahīñ bad-gumānī sī bad-gumānī hai mujh se kahtā thā kal farishta-e-ishq zindagī hijr kī kahānī hai bahr-e-hastī bhī jis meñ kho jaa.e buuñd meñ bhī vo be-karānī hai mil ga.e ḳhaak meñ tire ushshāq ye bhī ik amr-e-āsmānī hai zindagī intizār hai terā ham ne ik baat aaj jaanī hai kyuuñ na ho ġham se hī qimāsh us kā husn tasvīr-e-shādmānī hai suunī duniyā meñ ab to maiñ huuñ aur mātam-e-ishq-e-āñ-jahānī hai kuchh na pūchho 'firāq' ahd-e-shabāb raat hai niiñd hai kahānī hai
sitaaron-se-ulajhtaa-jaa-rahaa-huun-firaq-gorakhpuri-ghazals
sitāroñ se ulajhtā jā rahā huuñ shab-e-furqat bahut ghabrā rahā huuñ tire ġham ko bhī kuchh bahlā rahā huuñ jahāñ ko bhī samajhtā jā rahā huuñ yaqīñ ye hai haqīqat khul rahī hai gumāñ ye hai ki dhoke khā rahā huuñ agar mumkin ho le le apnī aahaT ḳhabar do husn ko maiñ aa rahā huuñ hadeñ husn-o-mohabbat kī milā kar qayāmat par qayāmat Dhā rahā huuñ ḳhabar hai tujh ko ai zabt-e-mohabbat tire hāthoñ meñ luTtā jā rahā huuñ asar bhī le rahā huuñ terī chup kā tujhe qaa.il bhī kartā jā rahā huuñ bharam tere sitam kā khul chukā hai maiñ tujh se aaj kyuuñ sharmā rahā huuñ unhīñ meñ raaz haiñ gul-bāriyoñ ke maiñ jo chiñgāriyāñ barsā rahā huuñ jo un ma.asūm āñkhoñ ne diye the vo dhoke aaj tak maiñ khā rahā huuñ tire pahlū meñ kyuuñ hotā hai mahsūs ki tujh se duur hotā jā rahā huuñ had-e-jor-o-karam se baḌh chalā husn nigāh-e-yār ko yaad aa rahā huuñ jo uljhī thī kabhī aadam ke hāthoñ vo gutthī aaj tak suljhā rahā huuñ mohabbat ab mohabbat ho chalī hai tujhe kuchh bhūltā sā jā rahā huuñ ajal bhī jin ko sun kar jhūmtī hai vo naġhme zindagī ke gā rahā huuñ ye sannāTā hai mere paañv kī chaap 'firāq' apnī kuchh aahaT pā rahā huuñ
nigaah-e-naaz-ne-parde-uthaae-hain-kyaa-kyaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
nigāh-e-nāz ne parde uThā.e haiñ kyā kyā hijāb ahl-e-mohabbat ko aa.e haiñ kyā kyā jahāñ meñ thī bas ik afvāh tere jalvoñ kī charāġh-e-dair-o-haram jhilmilā.e haiñ kyā kyā do-chār barq-e-tajallī se rahne vāloñ ne fareb narm-nigāhī ke khaa.e haiñ kyā kyā diloñ pe karte hue aaj aatī jaatī choT tirī nigāh ne pahlū bachā.e haiñ kyā kyā nisār nargis-e-mai-gūñ ki aaj paimāne laboñ tak aa.e hue thartharā.e haiñ kyā kyā vo ik zarā sī jhalak barq-e-kam-nigāhī kī jigar ke zaḳhm-e-nihāñ muskurā.e haiñ kyā kyā charāġh-e-tūr jale ā.ina-dar-ā.īna hijāb barq-e-adā ne uThā.e haiñ kyā kyā ba-qadr-e-zauq-e-nazar dīd-e-husn kyā ho magar nigāh-e-shauq meñ jalve samā.e haiñ kyā kyā kahīñ charāġh kahīñ gul kahīñ dil-e-barbād ḳhirām-e-nāz ne fitne uThā.e haiñ kyā kyā taġhāful aur baḌhā us ġhazāl-e-ra.anā kā fusūn-e-ġham ne bhī jaadū jagā.e haiñ kyā kyā hazār fitna-e-bedār ḳhvāb-e-rañgīñ meñ chaman meñ ġhuncha-e-gul-rañg laa.e haiñ kyā kyā tire ḳhulūs-e-nihāñ kā to aah kyā kahnā sulūk uchaTTe bhī dil meñ samā.e haiñ kyā kyā nazar bachā ke tire ishva-hā-e-pinhāñ ne diloñ meñ dard-e-mohabbat uThā.e haiñ kyā kyā payām-e-husn payām-e-junūñ payām-e-fanā tirī nigah ne fasāne sunā.e haiñ kyā kyā tamām husn ke jalve tamām mahrūmī bharam nigāh ne apne gañvā.e haiñ kyā kyā 'firāq' rāh-e-vafā meñ subuk-ravī terī baḌe-baḌoñ ke qadam Dagmagā.e haiñ kyā kyā
kisii-kaa-yuun-to-huaa-kaun-umr-bhar-phir-bhii-firaq-gorakhpuri-ghazals
kisī kā yuuñ to huā kaun umr bhar phir bhī ye husn o ishq to dhokā hai sab magar phir bhī hazār baar zamāna idhar se guzrā hai na.ī na.ī sī hai kuchh terī rahguzar phir bhī kahūñ ye kaise idhar dekh yā na dekh udhar ki dard dard hai phir bhī nazar nazar phir bhī ḳhushā ishāra-e-paiham zahe sukūt-e-nazar darāz ho ke fasāna hai muḳhtasar phir bhī jhapak rahī haiñ zamān o makāñ kī bhī āñkheñ magar hai qāfila āmāda-e-safar phir bhī shab-e-firāq se aage hai aaj merī nazar ki kaT hī jā.egī ye shām-e-be-sahar phir bhī kahīñ yahī to nahīñ kāshif-e-hayāt-o-mamāt ye husn o ishq ba-zāhir haiñ be-ḳhabar phir bhī palaT rahe haiñ ġharīb-ul-vatan palaTnā thā vo kūcha rū-kash-e-jannat ho ghar hai ghar phir bhī luTā huā chaman-e-ishq hai nigāhoñ ko dikhā gayā vahī kyā kyā gul o samar phir bhī ḳharāb ho ke bhī sochā kiye tire mahjūr yahī ki terī nazar hai tirī nazar phir bhī ho be-niyāz-e-asar bhī kabhī tirī miTTī vo kīmiyā hī sahī rah ga.ī kasar phir bhī lipaT gayā tirā dīvāna garche manzil se uḌī uḌī sī hai ye ḳhāk-e-rahguzar phir bhī tirī nigāh se bachne meñ umr guzrī hai utar gayā rag-e-jāñ meñ ye neshtar phir bhī ġham-e-firāq ke kushtoñ kā hashr kyā hogā ye shām-e-hijr to ho jā.egī sahar phir bhī fanā bhī ho ke girāñ-bārī-e-hayāt na pūchh uThā.e uTh nahīñ saktā ye dard-e-sar phir bhī sitam ke rañg haiñ har iltifāt-e-pinhāñ meñ karam-numā haiñ tire jaur sar-ba-sar phir bhī ḳhatā-muāf tirā afv bhī hai misl-e-sazā tirī sazā meñ hai ik shān-e-dar-guzar phir bhī agarche be-ḳhudī-e-ishq ko zamāna huā 'firāq' kartī rahī kaam vo nazar phir bhī
junuun-e-kaargar-hai-aur-main-huun-firaq-gorakhpuri-ghazals
junūn-e-kārgar hai aur maiñ huuñ hayāt-e-be-ḳhabar hai aur maiñ huuñ miTā kar dil nigāh-e-avvalīñ se taqāzā-e-digar hai aur maiñ huuñ kahāñ maiñ aa gayā ai zor-e-parvāz vabāl-e-bāl-o-par hai aur maiñ huuñ nigāh-e-avvalīñ se ho ke barbād taqāzā-e-digar hai aur maiñ huuñ mubārakbād ayyām-e-asīrī ġham-e-dīvār-o-dar hai aur maiñ huuñ tirī jam.iyyateñ haiñ aur tū hai hayāt-e-muntashar hai aur maiñ huuñ koī ho sust-paimāñ bhī to yuuñ ho ye shām-e-be-sahar hai aur maiñ huuñ nigāh-e-be-mahābā tere sadqe ka.ī TukḌe jigar hai aur maiñ huuñ Thikānā hai kuchh is uzr-e-sitam kā tirī nīchī nazar hai aur maiñ huuñ 'firāq' ik ek hasrat miT rahī hai ye mātam raat bhar hai aur maiñ huuñ
narm-fazaa-kii-karvaten-dil-ko-dukhaa-ke-rah-gaiin-firaq-gorakhpuri-ghazals
narm fazā kī karvaTeñ dil ko dukhā ke rah ga.iiñ ThanDī havā.eñ bhī tirī yaad dilā ke rah ga.iiñ shaam bhī thī dhuāñ dhuāñ husn bhī thā udaas udaas dil ko ka.ī kahāniyāñ yaad sī aa ke rah ga.iiñ mujh ko ḳharāb kar ga.iiñ nīm-nigāhiyāñ tirī mujh se hayāt o maut bhī āñkheñ churā ke rah ga.iiñ husn-e-nazar-fareb meñ kis ko kalām thā magar terī adā.eñ aaj to dil meñ samā ke rah ga.iiñ tab kahīñ kuchh pata chalā sidq-o-ḳhulūs-e-husn kā jab vo nigāheñ ishq se bāteñ banā ke rah ga.iiñ tere ḳhirām-e-nāz se aaj vahāñ chaman khile fasleñ bahār kī jahāñ ḳhaak uḌā ke rah ga.iiñ pūchh na un nigāhoñ kī turfa karishma-sāziyāñ fitne sulā ke rah ga.iiñ fitne jagā ke rah ga.iiñ tāroñ kī aañkh bhī bhar aa.ī merī sadā-e-dard par un kī nigāheñ bhī tirā naam batā ke rah ga.iiñ uf ye zamīñ kī gardisheñ aah ye ġham kī Thokareñ ye bhī to baḳht-e-ḳhufta ke shāne hilā ke rah ga.iiñ aur to ahl-e-dard kaun sambhāltā bhalā haañ terī shādmāniyāñ un ko rulā ke rah ga.iiñ yaad kuchh aa.iiñ is tarah bhūlī huī kahāniyāñ kho.e hue diloñ meñ aaj dard uThā ke rah ga.iiñ sāz-e-nashāt-e-zindagī aaj laraz laraz uThā kis kī nigāheñ ishq kā dard sunā ke rah ga.iiñ tum nahīñ aa.e aur raat rah ga.ī raah dekhtī tāroñ kī mahfileñ bhī aaj āñkheñ bichhā ke rah ga.iiñ jhuum ke phir chalīñ havā.eñ vajd meñ aa.iiñ phir fazā.eñ phir tirī yaad kī ghaTā.eñ sīnoñ pe chhā ke rah ga.iiñ qalb o nigāh kī ye iid uf ye ma.āl-e-qurb-o-dīd charḳh kī gardisheñ tujhe mujh se chhupā ke rah ga.iiñ phir haiñ vahī udāsiyāñ phir vahī suunī kā.enāt ahl-e-tarab kī mahfileñ rañg jamā ke rah ga.iiñ kaun sukūn de sakā ġham-zadagān-e-ishq ko bhīgtī rāteñ bhī 'firāq' aag lagā ke rah ga.iiñ
mai-kade-men-aaj-ik-duniyaa-ko-izn-e-aam-thaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
mai-kade meñ aaj ik duniyā ko izn-e-ām thā daur-e-jām-e-be-ḳhudī begāna-e-ayyām thā ruuh larzāñ aañkh mahv-e-dīd dil nākām thā ishq kā āġhāz bhī shā.ista-e-anjām thā rafta rafta ishq ko tasvīr-e-ġham kar hī diyā husn bhī kitnā ḳharāb-e-gardish-e-ayyām thā ġham-kade meñ dahr ke yuuñ to añdherā thā magar ishq kā dāġh-e-siyah-baḳhtī charāġh-e-shām thā terī duzdīda-nigāhī yuuñ to nā-mahsūs thī haañ magar daftar kā daftar husn kā paiġhām thā shaaq ahl-e-shauq par thiiñ us kī ismat-dāriyāñ sach hai lekin husn dar-parda bahut bad-nām thā mahv the gulzār-e-rañgā-rañg ke naqsh-o-nigār vahshateñ thī dil ke sannāTe the dasht-e-shām thā be-ḳhatā thā husn har jaur-o-jafā ke ba.ad bhī ishq ke sar tā-abad ilzām hī ilzām thā yuuñ garebāñ-chāk duniyā meñ nahīñ hotā koī har khulā gulshan shahīd-e-gardish-e-ayyām thā dekh husn-e-sharmagīñ dar-parda kyā laayā hai rañg ishq rusvā-e-jahāñ badnām hī badnām thā raunaq-e-bazm-e-jahāñ thā go dil-e-ġham-ghīñ 'firāq' sard thā afsurda thā mahrūm thā nākām thā
chhalak-ke-kam-na-ho-aisii-koii-sharaab-nahiin-firaq-gorakhpuri-ghazals
chhalak ke kam na ho aisī koī sharāb nahīñ nigāh-e-nargis-e-ra.anā tirā javāb nahīñ zamīn jaag rahī hai ki inqalāb hai kal vo raat hai koī zarra bhī mahv-e-ḳhvāb nahīñ hayāt-e-dard huī jā rahī hai kyā hogā ab is nazar kī duā.eñ bhī mustajāb nahīñ zamīn us kī falak us kā kā.enāt us kī kuchh aisā ishq tirā ḳhānumāñ-ḳharāb nahīñ abhī kuchh aur ho insān kā lahū paanī abhī hayāt ke chehre par āb-o-tāb nahīñ jahāñ ke baab meñ tar dāmanoñ kā qaul ye hai ye mauj mārtā dariyā koī sarāb nahīñ dikhā to detī hai behtar hayāt ke sapne ḳharāb ho ke bhī ye zindagī ḳharāb nahīñ
ye-narm-narm-havaa-jhilmilaa-rahe-hain-charaag-firaq-gorakhpuri-ghazals
ye narm narm havā jhilmilā rahe haiñ charāġh tire ḳhayāl kī ḳhushbū se bas rahe haiñ dimāġh diloñ ko tere tabassum kī yaad yuuñ aa.ī ki jagmagā uTheñ jis tarah mandiroñ meñ charāġh jhalaktī hai khiñchī shamshīr meñ na.ī duniyā hayāt o maut ke milte nahīñ haiñ aaj dimāġh harīf-e-sīna-e-majrūh o ātish-e-ġham-e-ishq na gul kī chāk-garebāniyāñ na laale ke daaġh vo jin ke haal meñ lau de uThe ġham-e-fardā vahī haiñ anjuman-e-zindagī ke chashm-o-charāg tamām sho.ala-e-gul hai tamām mauj-e-bahār ki tā-had-e-nigah-e-shauq lahlahāte haiñ baaġh na.ī zamīn nayā āsmāñ na.ī duniyā sunā to hai ki mohabbat ko in dinoñ hai farāġh jo tohmateñ na uThīñ ik jahāñ se un ke samet gunāhgār-e-mohabbat nikal ga.e be-dāġh jo chhup ke tāroñ kī āñkhoñ se paañv dhartā hai usī ke naqsh-e-kaf-e-pā se jal uThe haiñ charāġh jahān-e-rāz huī jā rahī hai aañkh tirī kuchh is tarah vo diloñ kā lagā rahī hai surāġh zamāna kuud paḌā aag meñ yahī kah kar ki ḳhuun chaaT ke ho jā.egī ye aag bhī baaġh nigāheñ matl.a-e-nau par haiñ ek aalam kī ki mil rahā hai kisī phūTtī kiran kā surāġh diloñ meñ dāġh-e-mohabbat kā ab ye aalam hai ki jaise niiñd meñ Duube hoñ pichhlī raat charāġh 'firāq' bazm-e-charāġhāñ hai mahfil-e-rindāñ saje haiñ pighlī huī aag se chhalakte ayāġh
haath-aae-to-vahii-daaman-e-jaanaan-ho-jaae-firaq-gorakhpuri-ghazals
haath aa.e to vahī dāman-e-jānāñ ho jaa.e chhūT jaa.e to vahī apnā garebāñ ho jaa.e ishq ab bhī hai vo mahram-e-be-gāna-numā husn yuuñ laakh chhupe laakh numāyāñ ho jaa.e hosh-o-ġhaflat se bahut duur hai kaifiyyat-e-ishq us kī har be-ḳhabarī manzil-e-irfāñ ho jaa.e yaad aatī hai jab apnī to taḌap jaatā huuñ merī hastī tirā bhūlā havā paimāñ ho jaa.e aañkh vo hai jo tirī jalva-gah-e-nāz bane dil vahī hai jo sarāpā tirā armāñ ho jaa.e pāk-bāzān-e-mohabbat meñ jo bebākī hai husn gar us ko samajh le to pashemāñ ho jaa.e sahl ho kar hui dushvār mohabbat terī use mushkil jo banā leñ to kuchh āsāñ ho jaa.e ishq phir ishq hai jis ruup meñ jis bhes meñ ho ishrat-e-vasl bane yā ġham-e-hijrāñ ho jaa.e kuchh mudāvā bhī ho majrūh diloñ kā ai dost marham-e-zaḳhm tirā jaur-pashemāñ ho jaa.e ye bhī sach hai koī ulfat meñ pareshāñ kyuuñ ho ye bhī sach hai koī kyūñkar na pareshāñ ho jaa.e ishq ko arz-e-tamannā meñ bhī lākhoñ pas-o-pesh husn ke vāste inkār bhī āsāñ ho jaa.e jhilmilātī hai sar-e-bazm-e-jahāñ sham-e-ḳhudī jo ye bujh jaa.e charāġh-e-rah-e-irfāñ ho jaa.e sar-e-shorīda diyā dasht-o-bayābāñ bhī diye ye mirī ḳhūbī-e-qismat ki vo zindāñ ho jaa.e uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firāq' kabhī lā-hal kabhī mushkil kabhī āsāñ ho jaa.e
ras-men-duubaa-huaa-lahraataa-badan-kyaa-kahnaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
ras meñ Duubā huā lahrātā badan kyā kahnā karvaTeñ letī huī sub.h-e-chaman kyā kahnā nigah-e-nāz meñ ye pichhle pahar rañg-e-ḳhumār niiñd meñ Duubī huī chandr-kiran kyā kahnā bāġh-e-jannat pe ghaTā jaise baras ke khul jaa.e ye suhānī tirī ḳhushbu-e-badan kyā kahnā Thahrī Thahrī sī nigāhoñ meñ ye vahshat kī kiran chauñke chauñke se ye āhū-e-ḳhutan kyā kahnā ruup sañgīt ne dhārā hai badan kā ye rachāv tujh pe lahlūt hai be-sāḳhta-pan kyā kahnā jaise lahrā.e koī sho.ala-kamar kī ye lachak sar-ba-sar ātish-e-sayyāl badan kyā kahnā jis tarah jalva-e-firdos havāoñ se chhine pairahan meñ tire rañgīnī-e-tan kyā kahnā jalva-o-parde kā ye rañg dam-e-nazzāra jis tarah adh-khule ghuñghaT meñ dulhan kyā kahnā dam-e-taqrīr khil uThte haiñ gulistāñ kyā kyā yuuñ to ik ġhuncha-e-nauras hai dahan kyā kahnā dil ke ā.īne meñ is tarah utartī hai nigāh jaise paanī meñ lachak jaa.e kiran kyā kahnā lahlahātā huā ye qad ye lahaktā joban zulf so mahkī huī rātoñ kā ban kyā kahnā tū mohabbat kā sitāra to javānī kā suhāg husn lau detā hai la.al-e-yaman kyā kahnā terī āvāz saverā tirī bāteñ taḌkā āñkheñ khul jaatī haiñ ejāz-e-suḳhan kyā kahnā zulf-e-shab-gūñ kī chamak paikar-e-sīmīñ kī damak dīp-mālā hai sar-e-gañg-o-jaman kyā kahnā nīlgūñ shabnamī kapḌoñ meñ badan kī ye jot jaise chhantī ho sitāroñ kī kiran kyā kahnā
vaqt-e-guruub-aaj-karaamaat-ho-gaii-firaq-gorakhpuri-ghazals
vaqt-e-ġhurūb aaj karāmāt ho ga.ī zulfoñ ko us ne khol diyā raat ho ga.ī kal tak to us meñ aisī karāmat na thī koī vo aañkh aaj qibla-e-hājāt ho ga.ī ai soz-e-ishq tū ne mujhe kyā banā diyā merī har ek saañs munājāt ho ga.ī ochhī nigāh Daal ke ik samt rakh diyā dil kyā diyā ġharīb kī sauġhāt ho ga.ī kuchh yaad aa ga.ī thī vo zulf-e-shikan-shikan hastī tamām chashma-e-zulmāt ho ga.ī ahl-e-vatan se duur judā.ī meñ yaar kī sabr aa gayā 'firāq' karāmāt ho ga.ī
ab-aksar-chup-chup-se-rahen-hain-yuunhii-kabhuu-lab-kholen-hain-firaq-gorakhpuri-ghazals
ab aksar chup chup se raheñ haiñ yūñhī kabhū lab kholeñ haiñ pahle 'firāq' ko dekhā hotā ab to bahut kam boleñ haiñ din meñ ham ko dekhne vaalo apne apne haiñ auqāt jaao na tum in ḳhushk āñkhoñ par ham rātoñ ko ro leñ haiñ fitrat merī ishq-o-mohabbat qismat merī tanhā.ī kahne kī naubat hī na aa.ī ham bhī kisū ke ho leñ haiñ ḳhunuk siyah mahke hue saa.e phail jaa.eñ haiñ jal-thal par kin jatanoñ se merī ġhazleñ raat kā juuḌā kholeñ haiñ baaġh meñ vo ḳhvāb-āvar aalam mauj-e-sabā ke ishāroñ par Daalī Daalī nauras patte sahj sahj jab Doleñ haiñ uf vo laboñ par mauj-e-tabassum jaise karvaTeñ leñ kauñde haa.e vo ālam-e-jumbish-e-mizhgāñ jab fitne par tauleñ haiñ naqsh-o-nigār-e-ġhazal meñ jo tum ye shādābī paao ho ham ashkoñ meñ kā.enāt ke nok-e-qalam ko Dubo leñ haiñ in rātoñ ko harīm-e-nāz kā ik aalam hue hai nadīm ḳhalvat meñ vo narm uñgliyāñ band-e-qabā jab kholeñ haiñ ġham kā fasāna sunñe vaalo āḳhir-e-shab ārām karo kal ye kahānī phir chheḌeñge ham bhī zarā ab so leñ haiñ ham log ab to ajnabī se haiñ kuchh to batāo hāl-e-'firāq' ab to tumhīñ ko pyaar kareñ haiñ ab to tumhīñ se boleñ haiñ
mujh-ko-maaraa-hai-har-ik-dard-o-davaa-se-pahle-firaq-gorakhpuri-ghazals
mujh ko maarā hai har ik dard o davā se pahle dī sazā ishq ne har jurm-o-ḳhatā se pahle ātish-e-ishq bhaḌaktī hai havā se pahle hoñT julte haiñ mohabbat meñ duā se pahle fitne barpā hue har ġhuncha-e-sar-basta se khul gayā rāz-e-chaman chāk-e-qabā se pahle chaal hai bāda-e-hastī kā chhalaktā huā jaam ham kahāñ the tire naqsh-e-kaf-e-pā se pahle ab kamī kyā hai tire be-sar-o-sāmānoñ ko kuchh na thā terī qasam tark-e-vafā se pahle ishq-e-bebāk ko da.ave the bahut ḳhalvat meñ kho diyā saarā bharam sharm-o-hayā se pahle ḳhud-baḳhud chaak hue pairahan-e-lāla-o-gul chal ga.ī kaun havā bād-e-sabā se pahle ham-safar rāh-e-adam meñ na ho tāroñ-bharī raat ham pahuñch jā.eñge is ābla-pā se pahle parda-e-sharm meñ sad-barq-e-tabassum ke nisār hosh jaate rahe nairañg-e-hayā se pahle maut ke naam se Darte the ham ai shauq-e-hayāt tū ne to maar hī Daalā thā qazā se pahle be-takalluf bhī tirā husn-e-ḳhud-ārā thā kabhī ik adā aur bhī thī husn-e-adā se pahle ġhaflateñ hastī-e-fānī kī batā deñgī tujhe jo mirā haal thā ehsās-e-fanā se pahle ham unheñ pā ke 'firāq' aur bhī kuchh kho.e ga.e ye takalluf to na the ahd-e-vafā se pahle
aankhon-men-jo-baat-ho-gaii-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
āñkhoñ meñ jo baat ho ga.ī hai ik sharh-e-hayāt ho ga.ī hai jab dil kī vafāt ho ga.ī hai har chiiz kī raat ho ga.ī hai ġham se chhuT kar ye ġham hai mujh ko kyuuñ ġham se najāt ho ga.ī hai muddat se ḳhabar milī na dil kī shāyad koī baat ho ga.ī hai jis shai pe nazar paḌī hai terī tasvīr-e-hayāt ho ga.ī hai ab ho mujhe dekhiye kahāñ sub.h un zulfoñ meñ raat ho ga.ī hai dil meñ tujh se thī jo shikāyat ab ġham ke nikāt ho ga.ī hai iqrār-e-gunāh-e-ishq sun lo mujh se ik baat ho ga.ī hai jo chiiz bhī mujh ko haath aa.ī terī sauġhāt ho ga.ī hai kyā jāniye maut pahle kyā thī ab merī hayāt ho ga.ī hai ghaTte ghaTte tirī ināyat merī auqāt ho ga.ī hai us chashm-e-siyah kī yaad yaksar shām-e-zulmāt ho ga.ī hai is daur meñ zindagī bashar kī bīmār kī raat ho ga.ī hai jiitī huī bāzī-e-mohabbat khelā huuñ to maat ho ga.ī hai miTne lagīñ zindagī kī qadreñ jab ġham se najāt ho ga.ī hai vo chāheñ to vaqt bhī badal jaa.e jab aa.e haiñ raat ho ga.ī hai duniyā hai kitnī be-Thikāna āshiq kī barāt ho ga.ī hai pahle vo nigāh ik kiran thī ab barq-sifāt ho ga.ī hai jis chiiz ko chhū diyā hai tū ne ik barg-e-nabāt ho ga.ī hai ikkā-dukkā sadā-e-zanjīr zindāñ meñ raat ho ga.ī hai ek ek sifat 'firāq' us kī dekhā hai to zaat ho ga.ī hai
ye-nikhaton-kii-narm-ravii-ye-havaa-ye-raat-firaq-gorakhpuri-ghazals
ye nik.hatoñ kī narm-ravī ye havā ye raat yaad aa rahe haiñ ishq ko TuuTe ta.alluqāt māyūsiyoñ kī god meñ dam toḌtā hai ishq ab bhī koī banā le to bigḌī nahīñ hai baat kuchh aur bhī to ho in ishārāt ke sivā ye sab to ai nigāh-e-karam baat baat baat ik umr kaT ga.ī hai tire intizār meñ aise bhī haiñ ki kaT na sakī jin se ek raat ham ahl-e-intizār ke aahaT pe kaan the ThanDī havā thī ġham thā tirā Dhal chalī thī raat yuuñ to bachī bachī sī uThī vo nigāh-e-nāz duniyā-e-dil meñ ho hī ga.ī koī vārdāt jin kā surāġh pā na sakī ġham kī ruuh bhī nādāñ hue haiñ ishq meñ aise bhī sānehāt har sa.ī o har amal meñ mohabbat kā haath hai ta.amīr-e-zindagī ke samajh kuchh muharrikāt us jā tirī nigāh mujhe le ga.ī jahāñ letī ho jaise saañs ye be-jān kā.enāt kyā niiñd aa.e us ko jise jāgnā na aa.e jo din ko din kare vo kare raat ko bhī raat dariyā ke madd-o-jazr bhī paanī ke khel haiñ hastī hī ke karishme haiñ kyā maut kyā hayāt ahl-e-razā meñ shān-e-baġhāvat bhī ho zarā itnī bhī zindagī na ho pāband-e-rasmiyāt ham ahl-e-ġham ne rañg-e-zamāna badal diyā koshish to kī sabhī ne magar ban paḌe kī baat paidā kare zamīn na.ī āsmāñ nayā itnā to le koī asar-e-daur-kā.enāt shā.ir huuñ gahrī niiñd meñ haiñ jo haqīqateñ chauñkā rahe haiñ un ko bhī mere tavahhumāt mujh ko to ġham ne fursat-e-ġham bhī na dī 'firāq' de fursat-e-hayāt na jaise ġham-e-hayāt
aaii-hai-kuchh-na-puuchh-qayaamat-kahaan-kahaan-firaq-gorakhpuri-ghazals
aa.ī hai kuchh na pūchh qayāmat kahāñ kahāñ uf le ga.ī hai mujh ko mohabbat kahāñ kahāñ betābī-o-sukūñ kī huiiñ manzileñ tamām bahlā.eñ tujh se chhuT ke tabī.at kahāñ kahāñ furqat ho yā visāl vahī iztirāb hai terā asar hai ai ġham-e-furqat kahāñ kahāñ har jumbish-e-nigāh meñ sad-kaif be-ḳhudī bhartī phiregī husn kī niyyat kahāñ kahāñ rāh-e-talab meñ chhoḌ diyā dil kā saath bhī phirte liye hue ye musībat kahāñ kahāñ dil ke ufaq tak ab to haiñ parchhā.iyāñ tirī le jaa.e ab to dekh ye vahshat kahāñ kahāñ ai nargis-e-siyāh batā de tire nisār kis kis ko hai ye hosh ye ġhaflat kahāñ kahāñ nairañg-e-ishq kī hai koī intihā ki ye ye ġham kahāñ kahāñ ye masarrat kahāñ kahāñ begānagī par us kī zamāne se ehtirāz dar-parda us adā kī shikāyat kahāñ kahāñ farq aa gayā thā daur-e-hayāt-o-mamāt meñ aa.ī hai aaj yaad vo sūrat kahāñ kahāñ jaise fanā baqā meñ bhī koī kamī sī ho mujh ko paḌī hai terī zarūrat kahāñ kahāñ duniyā se ai dal itnī tabī.at bharī na thī tere liye uThā.ī nadāmat kahāñ kahāñ ab imtiyāz-e-ishq-o-havas bhī nahīñ rahā hotī hai terī chashm-e-ināyat kahāñ kahāñ har gaam par tarīq-e-mohabbat meñ maut thī is raah meñ khule dar-e-rahmat kahāñ kahāñ hosh-o-junūñ bhī ab to bas ik baat haiñ 'firāq' hotī hai us nazar kī sharārat kahāñ kahāñ
kuchh-na-kuchh-ishq-kii-taasiir-kaa-iqraar-to-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
kuchh na kuchh ishq kī tāsīr kā iqrār to hai us kā ilzām-e-taġhāful pe kuchh inkār to hai har fareb-e-ġham-e-duniyā se ḳhabar-dār to hai terā dīvāna kisī kaam meñ hushyār to hai dekh lete haiñ sabhī kuchh tire mushtāq-e-jamāl ḳhair dīdār na ho hasrat-e-dīdār to hai ma.arke sar hoñ usī barq-e-nazar se ai husn ye chamaktī huī chaltī hui talvār to hai sar paTakne ko paTaktā hai magar ruk ruk kar tere vahshī ko ḳhayāl-e-dar-o-dīvār to hai ishq kā shikva-e-bejā bhī na be-kār gayā na sahī jaur magar jaur kā iqrār to hai tujh se himmat to paḌī ishq ko kuchh kahne kī ḳhair shikva na sahī shukr kā iz.hār to hai is meñ bhī rābta-e-ḳhās kī miltī hai jhalak ḳhair iqrār-e-mohabbat na ho inkār to hai kyuuñ jhapak jaatī hai rah rah ke tirī barq-e-nigāh ye jhijak kis liye ik kushta-e-dīdār to hai ka.ī unvān haiñ mamnūn-e-karam karne ke ishq meñ kuchh na sahī zindagī be-kār to hai sahar-o-shām sar-e-anjuman-e-nāz na ho jalva-e-husn to hai ishq-e-siyahkār to hai chauñk uThte haiñ 'firāq' aate hī us shoḳh kā naam kuchh sarāsīmgī-e-ishq kā iqrār to hai
rukii-rukii-sii-shab-e-marg-khatm-par-aaii-firaq-gorakhpuri-ghazals-1
rukī rukī sī shab-e-marg ḳhatm par aa.ī vo pau phaTī vo na.ī zindagī nazar aa.ī ye moḌ vo hai ki parchhā.iyāñ bhī deñgī na saath musāfiroñ se kaho us kī rahguzar aa.ī fazā tabassum-e-sub.h-e-bahār thī lekin pahuñch ke manzil-e-jānāñ pe aañkh bhar aa.ī kahīñ zamān-o-makāñ meñ hai naam ko bhī sukūñ magar ye baat mohabbat kī baat par aa.ī kisī kī bazm-e-tarab meñ hayāt baTtī thī umīd-vāroñ meñ kal maut bhī nazar aa.ī kahāñ har ek se insāniyat kā baar uThā ki ye balā bhī tire āshiqoñ ke sar aa.ī diloñ meñ aaj tirī yaad muddatoñ ke ba.ad ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aa.ī nayā nahīñ hai mujhe marg-e-nā-gahāñ kā payām hazār rañg se apnī mujhe ḳhabar aa.ī fazā ko jaise koī raag chīrtā jaa.e tirī nigāh diloñ meñ yūñhī utar aa.ī zarā visāl ke ba.ad aa.ina to dekh ai dost tire jamāl kī doshīzgī nikhar aa.ī tirā hī aks sarishk-e-ġham-e-zamāna meñ thā nigāh meñ tirī tasvīr sī utar aa.ī ajab nahīñ ki chaman-dar-chaman bane har phuul kalī kalī kī sabā jā ke god bhar aa.ī shab-e-'firāq' uThe dil meñ aur bhī kuchh dard kahūñ ye kaise tirī yaad rāt-bhar aa.ī
bahut-pahle-se-un-qadmon-kii-aahat-jaan-lete-hain-firaq-gorakhpuri-ghazals
bahut pahle se un qadmoñ kī aahaT jaan lete haiñ tujhe ai zindagī ham duur se pahchān lete haiñ mirī nazreñ bhī aise qātiloñ kā jaan o īmāñ haiñ nigāheñ milte hī jo jaan aur īmān lete haiñ jise kahtī hai duniyā kāmyābī vaa.e nā-dānī use kin qīmatoñ par kāmyāb insān lete haiñ nigāh-e-bāda-gūñ yuuñ to tirī bātoñ kā kyā kahnā tirī har baat lekin ehtiyātan chhān lete haiñ tabī.at apnī ghabrātī hai jab sunsān rātoñ meñ ham aise meñ tirī yādoñ kī chādar taan lete haiñ ḳhud apnā faisla bhī ishq meñ kaafī nahīñ hotā use bhī kaise kar guzreñ jo dil meñ Thaan lete haiñ hayāt-e-ishq kā ik ik nafas jām-e-shahādat hai vo jān-e-nāz-bardārāñ koī āsān lete haiñ ham-āhañgī meñ bhī ik chāshnī hai iḳhtilāfoñ kī mirī bāteñ ba-unvān-e-digar vo maan lete haiñ tirī maqbūliyat kī vaj.h vāhid terī ramziyyat ki us ko mānte hī kab haiñ jis ko jaan lete haiñ ab is ko kufr māneñ yā bulandī-e-nazar jāneñ ḳhudā-e-do-jahāñ ko de ke ham insān lete haiñ jise sūrat batāte haiñ pata detī hai sīrat kā ibārat dekh kar jis tarah ma.anī jaan lete haiñ tujhe ghāTā na hone deñge kārobār-e-ulfat meñ ham apne sar tirā ai dost har ehsān lete haiñ hamārī har nazar tujh se na.ī saugandh khātī hai to terī har nazar se ham nayā paimān lete haiñ rafīq-e-zindagī thī ab anīs-e-vaqt-e-āḳhir hai tirā ai maut ham ye dūsrā ehsān lete haiñ zamāna vārdāt-e-qalb sunñe ko tarastā hai isī se to sar āñkhoñ par mirā dīvān lete haiñ 'firāq' aksar badal kar bhes miltā hai koī kāfir kabhī ham jaan lete haiñ kabhī pahchān lete haiñ
har-naala-tire-dard-se-ab-aur-hii-kuchh-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
har naala tire dard se ab aur hī kuchh hai har naġhma sar-e-bazm-e-tarab aur hī kuchh hai arbāb-e-vafā jaan bhī dene ko haiñ tayār hastī kā magar husn-e-talab aur hī kuchh hai ye kaam na le nāla-o-faryād-o-fuġhāñ se aflāk ulaT dene kā Dhab aur hī kuchh hai ik silsila-e-rāz hai jiinā ki ho marnā jab aur hī kuchh thā magar ab aur hī kuchh hai kuchh mehr-e-qayāmat hai na kuchh nār-e-jahannam hoshyār ki vo qahr-o-ġhazab aur hī kuchh hai maz.hab kī ḳharābī hai na aḳhlāq kī pastī duniyā ke masā.ib kā sabab aur hī kuchh hai behūda-sarī sajde meñ hai jaan khapānā ā.īn-e-mohabbat meñ adab aur hī kuchh hai kyā husn ke andāz-e-taġhāful kī shikāyat paimān-e-vafā ishq kā jab aur hī kuchh hai duniyā ko jagā de jo adam ko bhī sulā de sunte haiñ ki vo roz vo shab aur hī kuchh hai āñkhoñ ne 'firāq' aaj na pūchho jo dikhāyā jo kuchh nazar aatā hai vo sab aur hī kuchh hai
chhed-ai-dil-ye-kisii-shokh-ke-rukhsaaron-se-firaq-gorakhpuri-ghazals
chheḌ ai dil ye kisī shoḳh ke ruḳhsāroñ se khelnā aah dahakte hue añgāroñ se ham shab-e-hijr meñ jab sotī hai saarī duniyā zikr karte haiñ tirā chhiTke hue tāroñ se ashk bhar laa.e kisī ne jo tirā naam liyā aur kyā hijr meñ hotā tire bīmāroñ se chheḌ naġhma koī go dil kī shikasta haiñ rageñ ham nikāleñge sadā TuuTe hue tāroñ se ham ko terī hai zarūrat na ise bhuul ai dost tere iqrāroñ se matlab hai na inkāroñ se ham haiñ vo bekas-o-be-yār ki baiThe baiThe apnā dukh-dard kahā karte haiñ dīvāroñ se ahl-e-duniyā se ye kahte haiñ mire nāla-e-dil ham sadā deñge ġham-e-hijr ke mīnāroñ se ishq hamdardī-e-ālam kā ravādār nahīñ ho ga.ī bhuul 'firāq' aap ke ġham-ḳhvāroñ se
zamiin-badlii-falak-badlaa-mazaaq-e-zindagii-badlaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
zamīñ badlī falak badlā mazāq-e-zindagī badlā tamaddun ke qadīm aqdār badle aadmī badlā ḳhudā-o-ahrman badle vo īmān-e-duī badlā hudūd-e-ḳhair-o-shar badle mazāq-e-kāfirī badlā na.e insān kā jab daur-e-ḳhud-nā-āgahī badlā rumūz-e-be-ḳhudī badle taqāzā-e-ḳhudī badlā badalte jā rahe haiñ ham bhī duniyā ko badalne meñ nahīñ badlī abhī duniyā to duniyā ko abhī badlā na.ī manzil ke mīr-e-kārvāñ bhī aur hote haiñ purāne ḳhizr-e-rah badle vo tarz-e-rahbarī badlā kabhī sochā bhī hai ai nazm-e-kohna ke ḳhudā-vando tumhārā hashr kyā hogā jo ye aalam kabhī badlā udhar pichhle se ahl-e-māl-o-zar par raat bhārī hai idhar bedārī-e-jamhūr kā andāz bhī badlā zahe soz-e-ġham-e-ādam ḳhushā sāz-e-dil-e-ādam isī ik sham.a kī lau ne jahān-e-tīrgī badlā na.e mansūr haiñ sadiyoñ purāne sheḳh-o-qāzī haiñ na fatve kufr ke badle na uzr-e-dār hī badlā batā.e to batā.e us ko terī shoḳhī-e-pinhāñ tirī chashm-e-tavajjoh hai ki tarz-e-be-ruḳhī badlā ba-faiz-e-ādam-e-ḳhākī zamīñ sonā ugaltī hai usī zarre ne daur-e-mehr-o-māh-o-mushtarī badlā sitāre jāgte haiñ raat laT chhaTkā.e sotī hai dabe paañv kisī ne aa ke ḳhvāb-e-zindagī badlā 'firāq' ham-navā-e-'mīr'-o-'ġhālib' ab na.e naġhme vo bazm-e-zindagī badlī vo rañg-e-shā.irī badlā
dete-hain-jaam-e-shahaadat-mujhe-maaluum-na-thaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
dete haiñ jām-e-shahādat mujhe ma.alūm na thā hai ye ā.īn-e-mohabbat mujhe ma.alūm na thā matlab-e-chashm-e-muravvat mujhe ma.alūm na thā tujh ko mujh se thī shikāyat mujhe ma.alūm na thā chashm-e-ḳhāmosh kī bābat mujhe ma.alūm na thā ye bhī hai harf-o-hikāyat mujhe ma.alūm na thā ishq bas meñ hai mashiyyat ke aqīda thā mirā us ke bas meñ hai mashiyyat mujhe ma.alūm na thā haft-ḳhvāñ jis ne kiye tai sar-e-rāh-e-taslīm TuuT jaatī hai vo himmat mujhe ma.alūm na thā aaj har qatra-e-mai ban gayā ik chiñgārī thī ye saaqī kī sharārat mujhe ma.alūm na thā nigah-e-mast ne talvār uThā lī sar-e-bazm yuuñ badal jaatī hai niyyat mujhe ma.alūm na thā ġham-e-hastī se jo bezār rahā maiñ ik umr tujh se bhī thī use nisbat mujhe ma.alūm na thā ishq bhī ahl-e-tarīqat meñ hai aisā thā ḳhayāl ishq hai pīr-e-tarīqat mujhe ma.alūm na thā pūchh mat sharh-e-karam-hā-e-azīzāñ hamdam un meñ itnī thī sharāfat mujhe ma.alūm na thā jab se dekhā hai tujhe mujh se hai merī an-ban husn kā rañg-e-siyāsat mujhe ma.alūm na thā shakl insān kī ho chaal bhī insān kī ho yuuñ bhī aatī hai qayāmat mujhe ma.alūm na thā sar-e-māmūra-e-ālam ye dil-e-ḳhāna-ḳharāb miT gayā terī badaulat mujhe ma.alūm na thā parda-e-arz-e-vafā meñ bhī rahā huuñ kartā tujh se maiñ apnī hī ġhībat mujhe ma.alūm na thā naqd-e-jāñ kyā hai zamāne meñ mohabbat hamdam nahīñ miltī kisī qīmat mujhe ma.alūm na thā ho gayā aaj rafīqoñ se gale mil ke judā apnā ḳhud ishq-e-sadāqat mujhe ma.alūm na thā dard dil kyā hai khulā aaj tire laḌne par tujh se itnī thī mohabbat mujhe ma.alūm na thā dam nikal jaa.e magar dil na lagā.e koī ishq kī ye thī vasiyyat mujhe ma.alūm na thā husn vāloñ ko bahut sahal samajh rakkhā thā tujh pe aa.egī tabī.at mujhe ma.alūm na thā kitnī ḳhallāq hai ye nīstī-e-ishq 'firāq' us se hastī hai ibārat mujhe ma.alūm na thā
gam-tiraa-jalva-gah-e-kaun-o-makaan-hai-ki-jo-thaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
ġham tirā jalva-gah-e-kaun-o-makāñ hai ki jo thā ya.anī insān vahī sho.ala-ba-jāñ hai ki jo thā phir vahī rañg-e-takallum nigah-e-nāz meñ hai vahī andāz vahī husn-e-bayāñ hai ki jo thā kab hai inkār tire lutf-o-karam se lekin tū vahī dushman-e-dil dushman-e-jāñ hai ki jo thā ishq afsurda nahīñ aaj bhī afsurda bahut vahī kam kam asr-e-soz-e-nihāñ hai ki jo thā qurb hī kam hai na duurī hī ziyāda lekin aaj vo rabt kā ehsās kahāñ hai ki jo thā nazar aa jaate haiñ tum ko to bahut nāzuk baal dil mirā kyā vahī ai shīsha-girāñ hai ki jo thā jaan de baiThe the ik baar havas vaale bhī phir vahī marhala-e-sūd-o-ziyāñ hai ki jo thā husn ko khīñch to letā hai abhī tak lekin vo asar jazb-e-mohabbat meñ kahāñ hai ki jo thā aaj bhī said-gah-e-ishq meñ husan-e-saffāk liye abrū kī lachaktī sī kamāñ hai ki jo thā phir tirī chashm-e-suḳhan-sanj ne chheḌī koī baat vahī jaadū hai vahī husn-e-bayāñ hai ki jo thā phir sar-e-mai-kada-e-ishq hai ik bārish-e-nūr chhalke jāmoñ se charāġhāñ kā samāñ hai ki jo thā phir vahī ḳhair-nigāhī hai tire jalvoñ se vahī aalam tirā ai barq-e-damāñ hai ki jo thā aaj bhī aag dabī hai dil-e-insāñ meñ 'firāq' aaj bhī sīnoñ se uThtā vo dhuāñ hai ki jo thā
apne-gam-kaa-mujhe-kahaan-gam-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
apne ġham kā mujhe kahāñ ġham hai ai ki terī ḳhushī muqaddam hai aag meñ jo paḌā vo aag huā husn-e-soz-e-nihāñ mujassam hai us ke shaitān ko kahāñ taufīq ishq karnā gunāh-e-ādam hai dil ke dhaḌkoñ meñ zor-e-zarb-e-kalīm kis qadar is habāb meñ dam hai hai vahī ishq zinda-o-jāved jise āb-e-hayāt bhī sam hai is meñ Thahrāv yā sukūn kahāñ zindagī inqalāb-e-paiham hai ik taḌap mauj-e-tah-nashīñ kī tarah zindagī kī binā-e-mohkam hai rahtī duniyā meñ ishq kī duniyā na.e unvān se munazzam hai uThne vaalī hai bazm maazī kī raushnī kam hai zindagī kam hai ye bhī nazm-e-hayāt hai koī zindagī zindagī kā mātam hai ik muamma hai zindagī ai dost ye bhī terī adā-e-mub.ham hai ai mohabbat tū ik azaab sahī zindagī be tire jahannam hai ik talātum sā rañg-o-nik.hat kā paikar-e-nāz meñ damā-dam hai phirne ko hai rasīlī nīm-nigāh āhū-e-nāz mā.il-e-ram hai ruup ke jot zer-e-pairāhan gulsitāñ par ridā-e-shabnam hai mere siine se lag ke so jaao palkeñ bhārī haiñ raat bhī kam hai aah ye mehrbāniyāñ terī shādmānī kī aañkh pur-nam hai narm o doshīza kis qadr hai nigāh har nazar dāstān-e-maryam hai mehr-o-mah shola-hā-e-sāz-e-jamāl jis kī jhankār itnī maddham hai jaise uchhle junūñ kī pahlī shaam is adā se vo zulf barham hai yuuñ bhī dil meñ nahīñ vo pahlī umañg aur terī nigāh bhī kam hai aur kyuuñ chheḌtī hai gardish-e-charḳh vo nazar phir ga.ī ye kyā kam hai rū-kash-e-sad-harīm-e-dil hai fazā vo jahāñ haiñ ajiib aalam hai diye jaatī hai lau sadā-e-'firāq' haañ vahī soz-o-sāz kam kam hai
vo-chup-chaap-aansuu-bahaane-kii-raaten-firaq-gorakhpuri-ghazals
vo chup-chāp aañsū bahāne kī rāteñ vo ik shaḳhs ke yaad aane kī rāteñ shab-e-mah kī vo ThanDī āñcheñ vo shabnam tire husn ke rasmasāne kī rāteñ javānī kī doshīzgī kā tabassum gul-e-zār ke vo khilāne kī rāteñ phuvāreñ sī naġhmoñ kī paḌtī hoñ jaise kuchh us lab ke sunñe-sunāne kī rāteñ mujhe yaad hai terī har sub.h-e-ruḳhsat mujhe yaad haiñ tere aane kī rāteñ pur-asrār sī merī arz-e-tamannā vo kuchh zer-e-lab muskurāne kī rāteñ sar-e-shām se ratjagā ke vo sāmāñ vo pichhle pahar niiñd aane kī rāteñ sar-e-shām se tā-sahar qurb-e-jānāñ na jaane vo thiiñ kis zamāne kī rāteñ sar-e-mai-kada tishnagī kī vo qasmeñ vo saaqī se bāteñ banāne kī rāteñ ham-āġhoshiyāñ shāhid-e-mehrbāñ kī zamāne ke ġham bhuul jaane kī rāteñ 'firāq' apnī qismat meñ shāyad nahīñ the Thikāne ke din yā Thikāne kī rāteñ
samajhtaa-huun-ki-tuu-mujh-se-judaa-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
samajhtā huuñ ki tū mujh se judā hai shab-e-furqat mujhe kyā ho gayā hai tirā ġham kyā hai bas ye jāntā huuñ ki merī zindagī mujh se ḳhafā hai kabhī ḳhush kar ga.ī mujh ko tirī yaad kabhī āñkhoñ meñ aañsū aa gayā hai hijāboñ ko samajh baiThā maiñ jalva nigāhoñ ko baḌā dhokā huā hai bahut duur ab hai dil se yaad terī mohabbat kā zamāna aa rahā hai na jī ḳhush kar sakā terā karam bhī mohabbat ko baḌā dhokā rahā hai kabhī taḌpā gayā hai dil tirā ġham kabhī dil ko sahārā de gayā hai shikāyat terī dil se karte karte achānak pyaar tujh par aa gayā hai jise chauñkā ke tū ne pher lī aañkh vo terā dard ab tak jāgtā hai jahāñ hai maujzan rañgīnī-e-husn vahīñ dil kā kañval lahrā rahā hai gulābī hotī jaatī haiñ fazā.eñ koī is rañg se sharmā rahā hai mohabbat tujh se thī qabl-az-mohabbat kuchh aisā yaad mujh ko aa rahā hai judā āġhāz se anjām se duur mohabbat ik musalsal mājrā hai ḳhudā-hāfiz magar ab zindagī meñ faqat apnā sahārā rah gayā hai mohabbat meñ 'firāq' itnā na ġham kar zamāne meñ yahī hotā rahā hai
diidaar-men-ik-tarfa-diidaar-nazar-aayaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
dīdār meñ ik turfa dīdār nazar aayā har baar chhupā koī har baar nazar aayā chhāloñ ko bayābāñ bhī gulzār nazar aayā jab chheḌ par āmāda har ḳhaar nazar aayā sub.h-e-shab-e-hijrāñ kī vo chāk-garebānī ik ālam-e-nairañgī har taar nazar aayā ho sabr ki betābī ummīd ki māyūsī nairañg-e-mohabbat bhī be-kār nazar aayā jab chashm-e-siyah terī thī chhā.ī huī dil par is mulk kā har ḳhitta tātār nazar aayā tū ne bhī to dekhī thī vo jaatī huī duniyā kyā āḳhrī lamhoñ meñ bīmār nazar aayā ġhash khā ke gire muusā allāh-rī māyūsī halkā sā vo parda bhī dīvār nazar aayā zarra ho ki qatra ho ḳhum-ḳhāna-e-hastī meñ maḳhmūr nazar aayā sarshār nazar aayā kyā kuchh na huā ġham se kyā kuchh na kiyā ġham ne aur yuuñ to huā jo kuchh be-kār nazar aayā ai ishq qasam tujh ko ma.amūra-e-ālam kī koī ġham-e-furqat meñ ġham-ḳhvār nazar aayā shab kaT ga.ī furqat kī dekhā na 'firāq' āḳhir tūl-e-ġham-e-hijrāñ bhī be-kār nazar aayā
jahaan-e-guncha-e-dil-kaa-faqat-chataknaa-thaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
jahān-e-ġhuncha-e-dil kā faqat chaTaknā thā usī kī bū-e-pareshāñ vajūd-e-duniyā thā ye kah ke kal koī be-iḳhtiyār rotā thā vo ik nigāh sahī kyuuñ kisī ko dekhā thā tanābeñ kūcha-e-qātil kī khiñchtī jaatī thiiñ shahīd-e-teġh-e-adā meñ bhī zor kitnā thā bas ik jhalak nazar aa.ī uḌe kalīm ke hosh bas ik nigāh huī ḳhaak tūr-e-sīnā thā har ik ke haath faqat ġhaflateñ thiiñ hosh-numā ki apne aap se begāna-vār jiinā thā yahī huā ki fareb-e-umīd-o-yās miTe vo pā ga.e tire hāthoñ hameñ jo paanā thā chaman meñ ġhuncha-e-gul khilkhilā ke murjhā.e yahī vo the jinheñ hañs hañs ke jaan denā thā nigāh-e-mehr meñ jis kī haiñ sad payām-e-fanā usī kā ālam-e-ījād-o-nāz bejā thā jahāñ tū jalva-numā thā laraztī thī duniyā tire jamāl se kaisā jalāl paidā thā hayāt-o-marg ke kuchh raaz khul ga.e hoñge fasāna-e-shab-e-ġham varna dosto kyā thā shab-e-adam kā fasāna gudāz sham-e-hayāt sivā.e kaif-e-fanā merā mājrā kyā thā kuchh aisī baat na thī terā duur ho jaanā ye aur baat ki rah rah ke dard uThtā thā na pūchh sūd-o-ziyāñ kārobār-e-ulfat ke vagarna yuuñ to na paanā thā kuchh na khotā thā lagāvTeñ vo tire husn-e-be-niyāz kī aah maiñ terī bazm se jab nā-umīd uTThā thā tujhe ham ai dil-e-dard-āshnā kahāñ DhūñDeñ ham apne hosh meñ kab the koī jab uTThā thā adam kā raaz sadā-e-shikast sāz-e-hayāt hijāb-e-zīst bhī kitnā latīf pardā thā ye iztirāb-o-sukūñ bhī thī ik fareb-e-hayāt ki apne haal se begāna-vār jiinā thā kahāñ pe chuuk huī tere be-qarāroñ se zamāna dūsrī karvaT badalne vaalā thā ye koī yaad hai ye bhī hai koī mahviyyat tire ḳhayāl meñ tujh ko bhī bhuul jaanā thā kahāñ kī choT ubhar aa.ī husn-e-tābāñ meñ dam-e-nazāra vo ruḳh dard sā chamaktā thā na pūchh ramz-o-kināyāt chashm-e-sāqī ke bas ek hashr-e-ḳhamosh anjuman meñ barpā thā chaman chaman thī gul-e-dāġh-e-ishq se hastī usī kī nik.hat-e-barbād kā zamāna thā vo thā mirā dil-e-ḳhūñ-gashta jis ke miTne se bahār-e-bāġha-e-jināñ thī vajūd-e-duniyā thā qasam hai bāda-kasho chashm-e-mast-e-sāqī kī batāo haath se kyā jām-e-mai sambhaltā thā visāl us se maiñ chāhūñ kahāñ ye dil merā ye ro rahā huuñ ki kyuuñ us ko maiñ ne dekhā thā umiid yaas banī yaas phir umiid banī us ik nazar meñ fareb-e-nigāh kitnā thā ye soz-o-sāz-e-nihāñ thā vo soz-o-sāz-e-ayāñ visāl-o-hijr meñ bas farq thā to itnā thā shikast-e-sāz-e-chaman thī bahār-e-lāla-o-gul ḳhizāñ machaltī thī ġhuncha jahāñ chaTaktā thā har ek saañs hai tajdīd-e-yād-e-ayyāmī guzar gayā vo zamāna jise guzarnā thā na koī va.ada na koī yaqīñ na koī umiid magar hameñ to tirā intizār karnā thā kisī ke sabr ne be-sabr diyā sab ko 'firāq' naza.a meñ karvaT koī badaltā thā
daur-e-aagaaz-e-jafaa-dil-kaa-sahaaraa-niklaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
daur-e-āġhāz-e-jafā dil kā sahārā niklā hausla kuchh na hamārā na tumhārā niklā terā naam aate hī sakte kā thā aalam mujh par jaane kis tarah ye mazkūr dobārā niklā hosh jaatā hai jigar jaatā hai dal jaatā hai parde hī parde meñ kyā terā ishārā niklā hai tire kashf-o-karāmāt kī duniyā qaa.il tujh se ai dil na magar kaam hamārā niklā kitne saffāk sar-e-qatl-gah-e-ālam the lākhoñ meñ bas vahī allāh kā pyārā niklā ibrat-añgez hai kyā us kī javāñ-margī bhī haa.e vo dil jo hamārā na tumhārā niklā ishq kī lau se farishtoñ ke bhī par jalte haiñ rashk-e-ḳhurshīd-e-qayāmat ye sharārā niklā sar-ba-sar be-sar-o-sāmāñ jise samjhe the vo dil rashk-e-jamshed-o-kai-o-ḳhusrau-o-dārā niklā rone vaale hue chup hijr kī duniyā badlī sham.a be-nūr huī sub.h kā taarā niklā uñgliyāñ uTThīñ 'firāq'-e-vatan-āvāra par aaj jis samt se vo dard kā maarā niklā
ab-daur-e-aasmaan-hai-na-daur-e-hayaat-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
ab daur-e-āsmāñ hai na daur-e-hayāt hai ai dard-e-hijr tū hī batā kitnī raat hai har kā.enāt se ye alag kā.enāt hai hairat-sarā-e-ishq meñ din hai na raat hai jiinā jo aa gayā to ajal bhī hayāt hai aur yuuñ to umr-e-ḳhizr bhī kyā be-sabāt hai kyuuñ intihā-e-hosh ko kahte haiñ be-ḳhudī ḳhurshīd hī kī āḳhirī manzil to raat hai hastī ko jis ne zalzala-sāmāñ banā diyā vo dil qarār paa.e muqaddar kī baat hai ye mushagāfiyāñ haiñ girāñ tab-e-ishq par kis ko dimāġh-e-kāvish-e-zāt-o-sifāt hai toḌā hai lā-makāñ kī hadoñ ko bhī ishq ne zindān-e-aql terī to kyā kā.enāt hai gardūñ sharār-e-barq-e-dil-e-be-qarār dekh jin se ye terī tāroñ bharī raat raat hai gum ho ke har jagah haiñ za-ḳhud raftagān-e-ishq un kī bhī ahl-e-kashf-o-karāmāt zaat hai hastī ba-juz fanā-e-musalsal ke kuchh nahīñ phir kis liye ye fikr-e-qarār-o-sabāt hai us jān-e-dostī kā ḳhulūs-e-nihāñ na pūchh jis kā sitam bhī ġhairat-e-sad-iltifāt hai yuuñ to hazār dard se rote haiñ bad-nasīb tum dil dukhāo vaqt-e-musībat to baat hai unvān ġhaflatoñ ke haiñ qurbat ho yā visāl bas fursat-e-hayāt 'firāq' ek raat hai
kamii-na-kii-tire-vahshii-ne-khaak-udaane-men-firaq-gorakhpuri-ghazals
kamī na kī tire vahshī ne ḳhaak uḌāne meñ junūñ kā naam uchhaltā rahā zamāne meñ 'firāq' dauḌ ga.ī ruuh sī zamāne meñ kahāñ kā dard bharā thā mire fasāne meñ junūñ se bhuul huī dil pe choT khāne meñ 'firāq' der abhī thī bahār aane meñ vo koī rañg hai jo uḌ na jaa.e ai gul-e-tar vo koī bū hai jo rusvā na ho zamāne meñ vo āstīñ hai koī jo lahū na de nikle vo koī hasan hai jhijhke jo rañg laane meñ ye gul khile haiñ ki choTeñ jigar kī ubhrī haiñ nihāñ bahār thī bulbul tire tarāne meñ bayān-e-sham.a hai hāsil yahī hai jalne kā fanā kī kaifiyateñ dekh jhilmilāne meñ kasī kī hālat-e-dil sun ke uTh ga.iiñ āñkheñ ki jaan paḌ ga.ī hasrat bhare fasāne meñ usī kī sharh hai ye uThte dard kā aalam jo dāstāñ thī nihāñ tere aañkh uThāne meñ ġharaz ki kaaT diye zindagī ke din ai dost vo terī yaad meñ hoñ yā tujhe bhulāne meñ hamīñ haiñ gul hamīñ bulbul hamīñ havā-e-chaman 'firāq' ḳhvāb ye dekhā hai qaid-ḳhāne meñ
raat-bhii-niind-bhii-kahaanii-bhii-firaq-gorakhpuri-ghazals
raat bhī niiñd bhī kahānī bhī haa.e kyā chiiz hai javānī bhī ek paiġhām-e-zindagānī bhī āshiqī marg-e-nā-gahānī bhī is adā kā tirī javāb nahīñ mehrbānī bhī sargirānī bhī dil ko apne bhī ġham the duniyā meñ kuchh balā.eñ thiiñ āsmānī bhī mansab-e-dil ḳhushī luTānā hai ġham-e-pinhāñ kī pāsbānī bhī dil ko sho.aloñ se kartī hai sairāb zindagī aag bhī hai paanī bhī shād-kāmoñ ko ye nahīñ taufīq dil-e-ġham-ghīñ kī shādmānī bhī laakh husn-e-yaqīñ se baḌh kar hai un nigāhoñ kī bad-gumānī bhī tañgnā-e-dil-e-malūl meñ hai bahr-e-hastī kī be-karānī bhī ishq-e-nākām kī hai parchhā.īñ shādmānī bhī kāmrānī bhī dekh dil ke nigār-ḳhāne meñ zaḳhm-e-pinhāñ kī hai nishānī bhī ḳhalq kyā kyā mujhe nahīñ kahtī kuchh sunūñ maiñ tirī zabānī bhī aa.e tārīḳh-e-ishq meñ sau baar maut ke daur-e-darmiyānī bhī apnī ma.asūmiyat ke parde meñ ho ga.ī vo nazar siyānī bhī din ko sūraj-mukhī hai vo nau-gul raat ko hai vo rāt-rānī bhī dil-e-bad-nām tere baare meñ log kahte haiñ ik kahānī bhī vaz.a karte koī na.ī duniyā ki ye duniyā huī purānī bhī dil ko ādāb-e-bandagī bhī na aa.e kar ga.e log hukmarānī bhī jaur-e-kam-kam kā shukriya bas hai aap kī itnī mehrbānī bhī dil meñ ik huuk bhī uThī ai dost yaad aa.ī tirī javānī bhī sar se pā tak supurdagī kī adā ek andāz-e-turkamānī bhī paas rahnā kisī kā raat kī raat mehmānī bhī mezbānī bhī ho na aks-e-jabīn-e-nāz ki hai dil meñ ik nūr-e-kahkashānī bhī zindagī ain dīd-e-yār 'firāq' zindagī hijr kī kahānī bhī
shaam-e-gam-kuchh-us-nigaah-e-naaz-kii-baaten-karo-firaq-gorakhpuri-ghazals
shām-e-ġham kuchh us nigāh-e-nāz kī bāteñ karo be-ḳhudī baḌhtī chalī hai raaz kī bāteñ karo ye sukūt-e-nāz ye dil kī ragoñ kā TūTnā ḳhāmushī meñ kuchh shikast-e-sāz kī bāteñ karo nik.hat-e-zulf-e-pareshāñ dāstān-e-shām-e-ġham sub.h hone tak isī andāz kī bāteñ karo har rag-e-dil vajd meñ aatī rahe dukhtī rahe yūñhī us ke jā-o-bejā naaz kī bāteñ karo jau adam kī jaan hai jo hai payām-e-zindagī us sukūt-e-rāz us āvāz kī bāteñ karo ishq rusvā ho chalā be-kaif sā bezār sā aaj us kī nargas-e-ġhammaz kī bāteñ karo naam bhī lenā hai jis kā ik jahān-e-rañg-o-bū dosto us nau-bahār-e-nāz kī bāteñ karo kis liye uzr-e-taġhāful kis liye ilzām-e-ishq aaj charḳh-e-tafraqa-parvāz kī bāteñ karo kuchh qafas kī tīliyoñ se chhan rahā hai nuur sā kuchh fazā kuchh hasrat-e-parvāz kī bāteñ karo jo hayāt-e-jāvidāñ hai jo hai marg-e-nā-gahāñ aaj kuchh us naaz us andāz kī bāteñ karo ishq-e-be-parvā bhī ab kuchh nā-shakebā ho chalā shoḳhī-e-husn-e-karishma-sāz kī bāteñ karo jis kī furqat ne palaT dī ishq kī kaayā 'firāq' aaj us īsā-nafas dam-sāz kī bāteñ karo
jaur-o-be-mehrii-e-igmaaz-pe-kyaa-rotaa-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
jaur-o-be-mehrī-e-iġhmāz pe kyā rotā hai mehrbāñ bhī koī ho jā.egā jaldī kyā hai kho diyā tum ko to ham pūchhte phirte haiñ yahī jis kī taqdīr bigaḌ jaa.e vo kartā kyā hai dil kā ik kaam jo hotā nahīñ ik muddat se tum zarā haath lagā do to huā rakkhā hai nigah-e-shoḳh meñ aur dil meñ haiñ choTeñ kyā kyā aaj tak ham na samajh paa.e ki jhagḌā kyā hai ishq se tauba bhī hai husn se shikve bhī hazār kahiye to hazrat-e-dil aap kā manshā kyā hai zīnat-e-dosh tirā nāma-e-a.amāl na ho terī dastār se vaa.iz ye laTaktā kyā hai haañ abhī vaqt kā ā.īna dikhā.e kyā kyā dekhte jaao zamāna abhī dekhā kyā hai na yagāne haiñ na begāne tirī mahfil meñ na koī ġhair yahāñ hai na koī apnā hai nigah-e-mast ko jumbish na hui go sar-e-bazm kuchh to is jām-e-labā-lab se abhī chhalkā hai rāt-din phirtī hai palkoñ ke jo saa.e saa.e dil mirā us nigah-e-nāz kā dīvānā hai ham judā.ī se bhī kuchh kaam to le hī leñge be-niyāzāna ta.alluq hī chhuTā achchhā hai un se baḌh-chaḌh ke to ai dost haiñ yādeñ in kī nāz-o-andāz-o-adā meñ tirī rakkhā kyā hai aisī bātoñ se badaltī hai kahīñ fitrat-e-husn jaan bhī de de agar koī to kyā hotā hai tirī āñkhoñ ko bhī inkār tirī zulf ko bhī kis ne ye ishq ko dīvāna banā rakkhā hai dil tirā jaan tirī aah tirī ashk tire jo hai ai dost vo terā hai hamārā kyā hai dar-e-daulat pe duā.eñ sī sunī haiñ maiñ ne dekhiye aaj faqīroñ kā kidhar pherā hai tujh ko ho jā.eñge shaitān ke darshan vaa.iz Daal kar muñh ko garebāñ meñ kabhī dekhā hai ham kahe dete haiñ chāloñ meñ na aao un kī sarvat-o-jāh ke ishvoñ se bacho dhokā hai yahī gar aañkh meñ rah jaa.e to hai chiñgārī qatra-e-ashk jo bah jaa.e to ik dariyā hai zulf-e-shab-gūñ ke sivā nargis-e-jādū ke sivā dil ko kuchh aur balāoñ ne bhī aa gherā hai lab-e-ejāz kī saugand ye jhankār thī kyā terī ḳhāmoshī ke mānind abhī kuchh TuuTā hai daar par gaah nazar gaah sū-e-shahr-e-nigār kuchh suneñ ham bhī to ai ishq irāda kyā hai aa ki ġhurbat-kada-e-dahr meñ jī bahlā.eñ ai dil us jalva-gah-e-nāz meñ kyā rakkhā hai zaḳhm hī zaḳhm huuñ maiñ sub.h kī mānind 'firāq' raat bhar hijr kī lazzat se mazā luuTā hai
bastiyaan-dhuundh-rahii-hain-unhen-viiraanon-men-firaq-gorakhpuri-ghazals
bastiyāñ DhūñDh rahī haiñ unheñ vīrānoñ meñ vahshateñ baḌh ga.iiñ had se tire dīvānoñ meñ nigah-e-nāz na dīvānoñ na farzānoñ meñ jānkār ek vahī hai magar an-jānoñ meñ bazm-e-mai be-ḳhud-o-be-tāb na kyuuñ ho saaqī mauj-e-bāda hai ki dard uThtā hai paimānoñ meñ maiñ to maiñ chauñk uThī hai ye fazā-e-ḳhāmosh ye sadā kab kī sunī aatī hai phir kānoñ meñ sair kar ujḌe diloñ kī jo tabī.at hai udaas jī bahal jaate haiñ akasr inhīñ vīrānoñ meñ vus.ateñ bhī haiñ nihāñ tañgi-e-dil meñ ġhāfil jī bahal jaate haiñ aksar inhīñ maidānoñ meñ jaan īmān-e-junūñ silsila jumbān-e-junūñ kuchh kashish-hā-e-nihāñ jazb haiñ vīrānoñ meñ ḳhanda-e-sub.h-e-azal tīrgī-e-shām-e-abad donoñ aalam haiñ chhalakte hue paimānoñ meñ dekh jab ālam-e-hū ko to nayā aalam hai bastiyāñ bhī nazar aane lagīñ vīrānoñ meñ jis jagah baiTh ga.e aag lagā kar uTThe garmiyāñ haiñ kuchh abhī soḳhta-sāmānoñ meñ vahshateñ bhī nazar aatī haiñ sar-e-parda-e-nāz dāmanoñ meñ hai ye aalam na garebānoñ meñ ek rañgīnī-e-zāhir hai gulistāñ meñ agar ek shādābī-e-pinhāñ hai bayābānoñ meñ jauhar-e-ġhuncha-o-gul meñ hai ik andāz-e-junūñ kuchh bayābāñ nazar aa.e haiñ garebānoñ meñ ab vo rañg-e-chaman-o-ḳhanda-e-gul bhī na rahe ab vo āsār-e-junūñ bhī nahīñ dīvānoñ meñ ab vo saaqī kī bhī āñkheñ na rahīñ rindoñ meñ ab vo sāġhar bhī chhalakte nahīñ mai-ḳhānoñ meñ ab vo ik soz-e-nihānī bhī diloñ meñ na rahā ab vo jalve bhī nahīñ ishq ke kāshānoñ meñ ab na vo raat jab ummīdeñ bhī kuchh thiiñ tujh se ab na vo baat ġham-e-hijr ke afsānoñ meñ ab tirā kaam hai bas ahl-e-vafā kā paanā ab tirā naam hai bas ishq ke ġham-ḳhānoñ meñ tā-ba-kai vāda-e-mauhūm kī tafsīl 'firāq' shab-e-furqat kahīñ kaTtī hai in afsānoñ meñ
sar-men-saudaa-bhii-nahiin-dil-men-tamannaa-bhii-nahiin-firaq-gorakhpuri-ghazals
sar meñ saudā bhī nahīñ dil meñ tamannā bhī nahīñ lekin is tark-e-mohabbat kā bharosā bhī nahīñ dil kī gintī na yagānoñ meñ na begānoñ meñ lekin us jalva-gah-e-nāz se uThtā bhī nahīñ mehrbānī ko mohabbat nahīñ kahte ai dost aah ab mujh se tirī ranjish-e-bejā bhī nahīñ ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ aaj ġhaflat bhī un āñkhoñ meñ hai pahle se sivā aaj hī ḳhātir-e-bīmār shakebā bhī nahīñ baat ye hai ki sukūn-e-dil-e-vahshī kā maqām kunj-e-zindāñ bhī nahīñ vus.at-e-sahrā bhī nahīñ are sayyād hamīñ gul haiñ hamīñ bulbul haiñ tū ne kuchh aah sunā bhī nahīñ dekhā bhī nahīñ aah ye majma-e-ahbāb ye bazm-e-ḳhāmosh aaj mahfil meñ 'firāq'-e-suḳhan-ārā bhī nahīñ ye bhī sach hai ki mohabbat pe nahīñ maiñ majbūr ye bhī sach hai ki tirā husn kuchh aisā bhī nahīñ yuuñ to hañgāme uThāte nahīñ dīvāna-e-ishq magar ai dost kuchh aisoñ kā Thikānā bhī nahīñ fitrat-e-husn to ma.alūm hai tujh ko hamdam chāra hī kyā hai ba-juz sabr so hotā bhī nahīñ muñh se ham apne burā to nahīñ kahte ki 'firāq' hai tirā dost magar aadmī achchhā bhī nahīñ
firaaq-ik-naii-suurat-nikal-to-saktii-hai-firaq-gorakhpuri-ghazals
'firāq' ik na.ī sūrat nikal to saktī hai ba-qaul us aañkh ke duniyā badal to saktī hai tire ḳhayāl ko kuchh chup sī lag ga.ī varna kahāniyoñ se shab-e-ġham bahal to saktī hai urūs-e-dahr chale khā ke Thokareñ lekin qadam qadam pe javānī ubal to saktī hai palaT paḌe na kahīñ us nigāh kā jaadū ki Duub kar ye chhurī kuchh uchhal to saktī hai bujhe hue nahīñ itne bujhe hue dil bhī fasurdagī meñ tabī.at machal to saktī hai agar tū chāhe to ġham vaale shādmāñ ho jaa.eñ nigāh-e-yār ye hasrat nikal to saktī hai ab itnī band nahīñ ġham-kadoñ kī bhī rāheñ havā-e-kūcha-e-mahbūb chal to saktī hai kaḌe haiñ kos bahut manzil-e-mohabbat ke mile na chhāñv magar dhuup Dhal to saktī hai hayāt lau tah-e-dāmān-e-marg de uTThī havā kī raah meñ ye sham.a jal to saktī hai kuchh aur maslahat-e-jazb-e-ishq hai varna kisī se chhuT ke tabī.at sambhal to saktī hai azal se soī hai taqdīr-e-ishq maut kī niiñd agar jagā.iye karvaT badal to saktī hai ġham-e-zamāna-o-soz-e-nihāñ kī aañch to de agar na TuuTe ye zanjīr gal to saktī hai sharīk-e-sharm-o-hayā kuchh hai bad-gumānī-e-husn nazar uThā ye jhijak sī nikal to saktī hai kabhī vo mil na sakegī maiñ ye nahīñ kahtā vo aañkh aañkh meñ paḌ kar badal to saktī hai badaltā jaa.e ġham-e-rozgār kā markaz ye chaal gardish-e-ayyām chal to saktī hai vo be-niyāz sahī dil matā-e-hech sahī magar kisī kī javānī machal to saktī hai tirī nigāh sahārā na de to baat hai aur ki girte girte bhī duniyā sambhal to saktī hai ye zor-o-shor salāmat tirī javānī bhī ba-qaul ishq ke sāñche meñ Dhal to saktī hai sunā hai barf ke TukḌe haiñ dil hasīnoñ ke kuchh aañch pā ke ye chāñdī pighal to saktī hai hañsī hañsī meñ lahū thūkte haiñ dil vaale ye sar-zamīn magar la.al ugal to saktī hai jo tū ne tark-e-mohabbat ko ahl-e-dil se kahā hazār narm ho ye baat khal to saktī hai are vo maut ho yā zindagī mohabbat par na kuchh sahī kaf-e-afsos mal to saktī hai haiñ jis ke bal pe khaḌe sarkashoñ ko vo dhartī agar kuchal nahīñ saktī nigal to saktī hai huī hai garm lahu pī ke ishq kī talvār yuuñ hī jilā.e jā ye shāḳh phal to saktī hai guzar rahī hai dabe paañv ishq kī devī subuk-ravī se jahāñ ko masal to saktī hai hayāt se nigah-e-vāpsīñ hai kuchh mānūs mire ḳhayāl se āñkhoñ meñ pal to saktī hai na bhūlnā ye hai tāḳhīr husn kī tāḳhīr 'firāq' aa.ī huī maut Tal to saktī hai
koii-paigaam-e-mohabbat-lab-e-ejaaz-to-de-firaq-gorakhpuri-ghazals
koī paiġhām-e-mohabbat lab-e-ejāz to de maut kī aañkh bhī khul jā.egī āvāz to de maqsad-e-ishq ham-āhañgī-e-juzv-o-kul hai dard hī dard sahī dil bū-e-dam-sāz to de chashm-e-maḳhmūr ke unvān-e-nazar kuchh to khuleñ dil-e-ranjūr dhaḌakne kā kuchh andāz to de ik zarā ho nasha-e-husn meñ andāz-e-ḳhumār ik jhalak ishq ke anjām kī āġhāz to de jo chhupā.e na chhupe aur batā.e na bane dil-e-āshiq ko in āñkhoñ se koī raaz to de muntazir itnī kabhī thī na fazā-e-āfāq chheḌne hī ko huuñ pur-dard ġhazal saaz to de ham asīrān-e-qafas aag lagā sakte haiñ fursat-e-naġhma kabhī hasrat-e-parvāz to de ishq ik baar mashiyyat ko badal saktā hai indiya apnā magar kuchh nigah-e-nāz to de qurb o dīdār to ma.alūm kisī kā phir bhī kuchh pata sā falak-e-tafraqa-pardāz to de manzileñ gard kī mānind uḌī jaatī haiñ ablaq-e-dahr kuchh andāz-e-tag-o-tāz to de kaan se ham to 'firāq' aañkh kā lete haiñ kaam aaj chhup kar koī āvāz par āvāz to de
hijr-o-visaal-e-yaar-kaa-parda-uthaa-diyaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
hijr-o-visāl-e-yār kā parda uThā diyā ḳhud baḌh ke ishq ne mujhe merā patā diyā gard-o-ġhubār-e-hastī-e-fānī uḌā diyā ai kīmiyā-e-ishq mujhe kyā banā diyā vo sāmne hai aur nazar se chhupā diyā ai ishq-e-be-hijāb mujhe kyā dikhā diyā vo shān-e-ḳhāmushī ki bahāreñ haiñ muntazir vo rañg-e-guftugū ki gulistāñ banā diyā dam le rahī thiiñ husn kī jab sehr-kāriyāñ in vaqfa-hā-e-kufr ko īmāñ banā diyā ma.alūm kuchh mujhī ko haiñ un kī ravāniyāñ jin qatra-hā-e-ashk ko dariyā banā dayā ik barq-e-be-qarār thī tamkīn-e-husn bhī jis vaqt ishq ko ġham-e-sabr-āzmā diyā saaqī mujhe bhī yaad haiñ vo tishna-kāmiyāñ jin ko harīf-e-sāġhar-o-mīnā banā diyā ma.alūm hai haqīqat-e-ġham-hā-e-rozgār duniyā ko tere dard ne duniyā banā diyā ai shoḳhi-e-nigāh-e-karam muddatoñ ke ba.ad ḳhvāb-e-girān-e-ġham se mujhe kyuuñ jagā diyā kuchh shorisheñ taġhāful-e-pinhāñ meñ thiiñ jinheñ hañgāma-zār-e-hashr-e-tamannā banā diyā baḌhtā hī jā rahā hai jamāl-e-nazar-fareb husn-e-nazar ko husn-e-ḳhud-ārā banā diyā phir dekhnā nigāh laḌī kis se ishq kī gar husn ne hijāb-e-taġhāful uThā diyā jab ḳhuun ho chukā dil-e-hastī-e-etibār kuchh dard bach rahe jinheñ insāñ banā diyā gum-karda-e-vafūr-e-ġham-e-intizār huuñ tū kyā chhupā ki mujh ko mujhī se chhupā diyā raat ab harīf-e-sub.h-e-qayāmat hī kyuuñ na ho jo kuchh bhī ho us aañkh ko ab to jagā diyā ab maiñ huuñ aur lutf-o-karam ke takallufāt ye kyuuñ hijāb-e-ranjish-e-be-jā banā diyā thī yuuñ to shām-e-hijr magar pichhlī raat ko vo dard uThā 'firāq' ki maiñ muskurā diyā
kuchh-ishaare-the-jinhen-duniyaa-samajh-baithe-the-ham-firaq-gorakhpuri-ghazals
kuchh ishāre the jinheñ duniyā samajh baiThe the ham us nigāh-e-āshnā ko kyā samajh baiThe the ham rafta rafta ġhair apnī hī nazar meñ ho ga.e vāh-rī ġhaflat tujhe apnā samajh baiThe the ham hosh kī taufīq bhī kab ahl-e-dil ko ho sakī ishq meñ apne ko dīvāna samajh baiThe the ham parda-e-āzurdagī meñ thī vo jān-e-iltifāt jis adā ko ranjish-e-bejā samajh baiThe the ham kyā kaheñ ulfat meñ rāz-e-be-hisī kyūñkar khulā har nazar ko terī dard-afzā samajh baiThe the ham be-niyāzī ko tirī paayā sarāsar soz o dard tujh ko ik duniyā se begāna samajh baiThe the ham inqalāb-e-pai-ba-pai har gardish o har daur meñ is zamīn o āsmāñ ko kyā samajh baiThe the ham bhuul baiThī vo nigāh-e-nāz ahd-e-dostī us ko bhī apnī tabī.at kā samajh baiThe the ham saaf alag ham ko junūn-e-āshiqī ne kar diyā ḳhud ko tere dard kā pardā samajh baiThe the ham kaan bajte haiñ mohabbat ke sukūt-e-nāz ko dāstāñ kā ḳhatm ho jaanā samajh baiThe the ham bātoñ bātoñ meñ payām-e-marg bhī aa hī gayā un nigāhoñ ko hayāt-afzā samajh baiThe the ham ab nahīñ tāb-e-sipās-e-husn is dil ko jise be-qrār-e-shikva-e-bejā samajh baiThe the ham ek duniyā dard kī tasvīr niklī ishq ko koh-kan aur qais kā qissa samajh baiThe the ham rafta rafta ishq mānūs-e-jahāñ hotā chalā ḳhud ko tere hijr meñ tanhā samajh baiThe the ham husn ko ik husn hī samjhe nahīñ aur ai 'firāq' mehrbāñ nā-mehrbāñ kyā kyā samajh baiThe the ham
zer-o-bam-se-saaz-e-khilqat-ke-jahaan-bantaa-gayaa-firaq-gorakhpuri-ghazals
zer-o-bam se sāz-e-ḳhilqat ke jahāñ bantā gayā ye zamīñ bantī ga.ī ye āsmāñ bantā gayā dāstān-e-jaur-e-behad ḳhuun se likhtā rahā qatra qatra ashk-e-ġham kā be-karāñ bantā gayā ishq-e-tanhā se huiiñ ābād kitnī manzileñ ik musāfir kārvāñ-dar-kārvāñ bantā gayā maiñ tire jis ġham ko apnā jāntā thā vo bhī to zeb-e-unvān-e-hadīs-e-dīgarāñ bantā gayā baat nikle baat se jaise vo thā terā bayāñ naam terā dāstāñ-dar-dāstāñ bantā gayā ham ko hai ma.alūm sab rūdād-e-ilm-o-falsafa haañ har īmān-o-yaqīñ vahm-o-gumāñ bantā gayā maiñ kitāb-e-dil meñ apnā hāl-e-ġham likhtā rahā har varaq ik bāb-e-tārīḳh-e-jahāñ bantā gayā bas usī kī tarjumānī hai mire ash.ār meñ jo sukūt-e-rāz rañgīñ dāstāñ bantā gayā maiñ ne sauñpā thā tujhe ik kaam saarī umr meñ vo bigaḌtā hī gayā ai dil kahāñ bantā gayā vārdāt-e-dil ko dil hī meñ jagah dete rahe har hisāb-e-ġham hisāb-e-dostāñ bantā gayā merī ghuTTī meñ paḌī thī ho ke hal urdu zabāñ jo bhī maiñ kahtā gayā husn-e-bayāñ bantā gayā vaqt ke hāthoñ yahāñ kyā kyā ḳhazāne luT ga.e ek terā ġham ki ganj-e-shā.īgāñ bantā gayā sar-zamīn-e-hind par aqvām-e-ālam ke 'firāq' qāfile baste ga.e hindostāñ bantā gayā
jaagne-vaalo-taa-ba-sahar-khaamosh-raho-habib-jalib-ghazals
jāgne vaalo tā-ba-sahar ḳhāmosh raho kal kyā hogā kis ko ḳhabar ḳhāmosh raho kis ne sahar ke paañv meñ zanjīreñ Dālīñ ho jā.egī raat basar ḳhāmosh raho shāyad chup rahne meñ izzat rah jaa.e chup hī bhalī ai ahl-e-nazar ḳhāmosh raho qadam qadam par pahre haiñ in rāhoñ meñ dār-o-rasan kā hai ye nagar ḳhāmosh raho yuuñ bhī kahāñ be-tābi-e-dil kam hotī hai yuuñ bhī kahāñ ārām magar ḳhāmosh raho sher kī bāteñ ḳhatm huiiñ is aalam meñ kaisā 'josh' aur kis kā 'jigar' ḳhāmosh raho
ham-ne-dil-se-tujhe-sadaa-maanaa-habib-jalib-ghazals
ham ne dil se tujhe sadā maanā tū baḌā thā tujhe baḌā maanā 'mīr'-o-'ġhālib' ke ba.ad 'anīs' ke ba.ad tujh ko maanā baḌā bajā maanā tū ki dīvāna-e-sadāqat thā tū ne bande ko kab ḳhudā maanā tujh ko parvā na thī zamāne kī tū ne dil hī kā har kahā maanā tujh ko ḳhud pe thā e'timād itnā ḳhud hī ko to na rahnumā maanā kī na shab kī kabhī pazīrā.ī sub.h ko lā.eq-e-sanā maanā hañs diyā sat.h-e-zehn-e-ālam par jab kisī baat kā burā maanā yuuñ to shā.ir the aur bhī ai 'josh' ham ne tujh sā na dūsrā maanā
tum-se-pahle-vo-jo-ik-shakhs-yahaan-takht-nashiin-thaa-habib-jalib-ghazals
tum se pahle vo jo ik shaḳhs yahāñ taḳht-nashīñ thā us ko bhī apne ḳhudā hone pe itnā hī yaqīñ thā koī Thahrā ho jo logoñ ke muqābil to batāo vo kahāñ haiñ ki jinheñ naaz bahut apne ta.iiñ thā aaj so.e haiñ tah-e-ḳhāk na jaane yahāñ kitne koī shola koī shabnam koī mahtāb-jabīñ thā ab vo phirte haiñ isī shahr meñ tanhā liye dil ko ik zamāne meñ mizāj un kā sar-e-arsh-e-barīñ thā chhoḌnā ghar kā hameñ yaad hai 'jālib' nahīñ bhūle thā vatan zehn meñ apne koī zindāñ to nahīñ thā
afsos-tumhen-car-ke-shiishe-kaa-huaa-hai-habib-jalib-ghazals
afsos tumheñ car ke shīshe kā huā hai parvā nahīñ ik maañ kā jo dil TuuT gayā hai hotā hai asar tum pe kahāñ nāla-e-ġham kā barham jo huī bazm-e-tarab is kā gilā hai fir.aun bhī namrūd bhī guzre haiñ jahāñ meñ rahtā hai yahāñ kaun yahāñ kaun rahā hai tum zulm kahāñ tak tah-e-aflāk karoge ye baat na bhūlo ki hamārā bhī ḳhudā hai āzādi-e-insāñ ke vahīñ phuul khileñge jis jā pe zahīr aaj tirā ḳhuun girā hai tā-chand rahegī ye shab-e-ġham kī siyāhī rasta koī sūraj kā kahīñ rok sakā hai tū aaj kā shā.ir hai to kar merī tarah baat jaise mire hoñToñ pe mire dil kī sadā hai
dushmanon-ne-jo-dushmanii-kii-hai-habib-jalib-ghazals
dushmanoñ ne jo dushmanī kī hai dostoñ ne bhī kyā kamī kī hai ḳhāmushī par haiñ log zer-e-itāb aur ham ne to baat bhī kī hai mutma.in hai zamīr to apnā baat saarī zamīr hī kī hai apnī to dāstāñ hai bas itnī ġham uThā.e haiñ shā.erī kī hai ab nazar meñ nahīñ hai ek hī phuul fikr ham ko kalī kalī kī hai pā sakeñge na umr bhar jis ko justujū aaj bhī usī kī hai jab mah-o-mahr bujh ga.e 'jālib' ham ne ashkoñ se raushnī kī hai
sher-hotaa-hai-ab-mahiinon-men-habib-jalib-ghazals
sher hotā hai ab mahīnoñ meñ zindagī Dhal ga.ī mashīnoñ meñ pyaar kī raushnī nahīñ miltī un makānoñ meñ un makīnoñ meñ dekh kar dostī kā haath baḌhāo saañp hote haiñ āstīnoñ meñ qahr kī aañkh se na dekh in ko dil dhaḌakte haiñ ābgīnoñ meñ āsmānoñ kī ḳhair ho yārab ik nayā azm hai zamīnoñ meñ vo mohabbat nahīñ rahī 'jālib' ham-safīroñ meñ ham-nashīnoñ meñ
aur-sab-bhuul-gae-harf-e-sadaaqat-likhnaa-habib-jalib-ghazals-1
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadāqat likhnā rah gayā kaam hamārā hī baġhāvat likhnā laakh kahte raheñ zulmat ko na zulmat likhnā ham ne sīkhā nahīñ pyāre ba-ijāzat likhnā na sile kī na satā.ish kī tamannā ham ko haq meñ logoñ ke hamārī to hai aadat likhnā ham ne jo bhuul ke bhī shah kā qasīda na likhā shāyad aayā isī ḳhūbī kī badaulat likhnā is se baḌh kar mirī tahsīn bhalā kyā hogī paḌh ke nā-ḳhush haiñ mirā sāhab-e-sarvat likhnā dahr ke ġham se huā rabt to ham bhuul ga.e sarv qāmat ko javānī ko qayāmat likhnā kuchh bhī kahte haiñ kahīñ shah ke musāhib 'jālib' rañg rakhnā yahī apnā isī sūrat likhnā
dil-vaalo-kyuun-dil-sii-daulat-yuun-be-kaar-lutaate-ho-habib-jalib-ghazals
dil vaalo kyuuñ dil sī daulat yuuñ be-kār luTāte ho kyuuñ is añdhiyārī bastī meñ pyaar kī jot jagāte ho tum aisā nādān jahāñ meñ koī nahīñ hai koī nahīñ phir in galiyoñ meñ jaate ho pag pag Thokar khāte ho sundar kaliyo komal phūlo ye to batāo ye to kaho āḳhir tum meñ kyā jaadū hai kyuuñ man meñ bas jaate ho ye mausam rim-jhim kā mausam ye barkhā ye mast fazā aise meñ aao to jāneñ aise meñ kab aate ho ham se ruuTh ke jaane vaalo itnā bhed batā jaao kyuuñ nit raato ko sapnoñ meñ aate ho man jaate ho chāñd-sitāroñ ke jhurmuT meñ phūloñ kī muskāhaT meñ tum chhup-chhup kar hañste ho tum ruup kā maan baḌhāte ho chalte phirte raushan raste tārīkī meñ Duub ga.e so jaao ab 'jālib' tum bhī kyuuñ āñkheñ sulgāte ho
ab-terii-zaruurat-bhii-bahut-kam-hai-mirii-jaan-habib-jalib-ghazals
ab terī zarūrat bhī bahut kam hai mirī jaañ ab shauq kā kuchh aur hī aalam hai mirī jaañ ab tazkira-e-ḳhanda-e-gul baar hai jī par jaañ vaqf-e-ġham-e-giriya-e-shabnam hai mirī jaañ ruḳh par tire bikhrī huī ye zulf-e-siyah-tāb tasvīr-e-pareshāni-e-ālam hai mirī jaañ ye kyā ki tujhe bhī hai zamāne se shikāyat ye kyā ki tirī aañkh bhī pur-nam hai mirī jaañ ham sāda-diloñ par ye shab-e-ġham kā tasallut māyūs na ho aur koī dam hai mirī jaañ ye terī tavajjoh kā hai ejaaz ki mujh se har shaḳhs tire shahr kā barham hai mirī jaañ ai nuz.hat-e-mahtāb tirā ġham hai mirī ziist ai nāzish-e-ḳhurshīd tirā ġham hai mirī jaañ
chuur-thaa-zakhmon-se-dil-zakhmii-jigar-bhii-ho-gayaa-habib-jalib-ghazals
chuur thā zaḳhmoñ se dil zaḳhmī jigar bhī ho gayā us ko rote the ki suunā ye nagar bhī ho gayā log usī sūrat pareshāñ haiñ jidhar bhī dekhiye aur vo kahte haiñ koh-e-ġham to sar bhī ho gayā bām-o-dar par hai musallat aaj bhī shām-e-alam yuuñ to in galiyoñ se ḳhurshīd-e-sahar bhī ho gayā us sitamgar kī haqīqat ham pe zāhir ho ga.ī ḳhatm ḳhush-fahmī kī manzil kā safar bhī ho gayā
bate-rahoge-to-apnaa-yuunhii-bahegaa-lahuu-habib-jalib-ghazals
baTe rahoge to apnā yūñhī bahegā lahū hue na ek to manzil na ban sakegā lahū ho kis ghamanD meñ ai laḳht laḳht dīda-varo tumheñ bhī qātil-e-mehnat-kashāñ kahegā lahū isī tarah se agar tum anā-parast rahe ḳhud apnā rāh-numā aap hī banegā lahū suno tumhāre garebān bhī nahīñ mahfūz Daro tumhārā bhī ik din hisāb legā lahū agar na ahd kiyā ham ne ek hone kā ġhanīm sab kā yūñhī bechtā rahegā lahū kabhī kabhī mire bachche bhī mujh se pūchhte haiñ kahāñ tak aur tū ḳhushk apnā hī karegā lahū sadā kahā yahī maiñ ne qarīb-tar hai vo duur ki jis meñ koī hamārā na pī sakegā lahū
vahii-haalaat-hain-faqiiron-ke-habib-jalib-ghazals
vahī hālāt haiñ faqīroñ ke din phire haiñ faqat vazīroñ ke apnā halqa hai halqa-e-zanjīr aur halqe haiñ sab amīroñ ke har bilāval hai des kā maqrūz paañv nañge haiñ benazīroñ ke vahī ahl-e-vafā kī sūrat-e-hāl vaare nyāre haiñ be-zamīroñ ke sāzisheñ haiñ vahī ḳhilāf-e-avām mashvare haiñ vahī mushīroñ ke beḌiyāñ sāmrāj kī haiñ vahī vahī din-rāt haiñ asīroñ ke
us-rauunat-se-vo-jiite-hain-ki-marnaa-hii-nahiin-habib-jalib-ghazals
us ra.ūnat se vo jiite haiñ ki marnā hī nahīñ taḳht par baiThe haiñ yuuñ jaise utarnā hī nahīñ yuuñ mah-o-anjum kī vaadī meñ uḌe phirte haiñ vo ḳhaak ke zarroñ pe jaise paañv dharnā hī nahīñ un kā da.avā hai ki sūraj bhī unhī kā hai ġhulām shab jo ham par aa.ī hai us ko guzarnā hī nahīñ kyā ilaaj us kā agar ho mudda.ā un kā yahī ehtimām rañg-o-bū gulshan meñ karnā hī nahīñ zulm se haiñ barsar-e-paikār āzādī-pasand un pahāḌoñ meñ jahāñ par koī jharnā hī nahīñ dil bhī un ke haiñ siyah ḳhūrāk-e-zindāñ kī tarah un se apnā ġham bayāñ ab ham ko karnā hī nahīñ intihā kar leñ sitam kī log abhī haiñ ḳhvāb meñ jaag uTThe jab log to un ko Thaharnā hī nahīñ
khuub-aazaadii-e-sahaafat-hai-habib-jalib-ghazals
ḳhuub āzādī-e-sahāfat hai nazm likhne pe bhī qayāmat hai da.avā jamhūriyat kā hai har-ān ye hukūmat bhī kyā hukūmat hai dhāñdlī dhoñs kī hai paidāvār sab ko ma.alūm ye haqīqat hai ḳhauf ke zehn-o-dil pe saa.e haiñ kis kī izzat yahāñ salāmat hai kabhī jamhūriyat yahāñ aa.e yahī 'jālib' hamārī hasrat hai
tire-maathe-pe-jab-tak-bal-rahaa-hai-habib-jalib-ghazals
tire māthe pe jab tak bal rahā hai ujālā aañkh se ojhal rahā hai samāte kyā nazar meñ chāñd taare tasavvur meñ tirā āñchal rahā hai tirī shān-e-taġhāful ko ḳhabar kyā koī tere liye be-kal rahā hai shikāyat hai ġham-e-daurāñ ko mujh se ki dil meñ kyuuñ tirā ġham pal rahā hai ta.ajjub hai sitam kī āñdhiyoñ meñ charāġh-e-dil abhī tak jal rahā hai lahū ro.eñgī maġhrib kī fazā.eñ baḌī tezī se sūraj Dhal rahā hai zamāna thak gayā 'jālib' hī tanhā vafā ke rāste par chal rahā hai
zarre-hii-sahii-koh-se-takraa-to-gae-ham-habib-jalib-ghazals
zarre hī sahī koh se Takrā to ga.e ham dil le ke sar-e-arsa-e-ġham aa to ga.e ham ab naam rahe yā na rahe ishq meñ apnā rūdād-e-vafā daar pe dohrā to ga.e ham kahte the jo ab koī nahīñ jaañ se guzartā lo jaañ se guzar kar unheñ jhuTlā to ga.e ham jaañ apnī gañvā kar kabhī ghar apnā jalā kar dil un kā har ik taur se bahlā to ga.e ham kuchh aur hī aalam thā pas-e-chehra-e-yārāñ rahtā jo yūñhī raaz use pā to ga.e ham ab soch rahe haiñ ki ye mumkin hī nahīñ hai phir un se na milne kī qasam khā to ga.e ham uTTheñ ki na uTTheñ ye razā un kī hai 'jālib' logoñ ko sar-e-dār nazar aa to ga.e ham
kaun-bataae-kaun-sujhaae-kaun-se-des-sidhaar-gae-habib-jalib-ghazals
kaun batā.e kaun sujhā.e kaun se des sidhār ga.e un kā rasta takte takte nain hamāre haar ga.e kāñToñ ke dukh sahne meñ taskīn bhī thī ārām bhī thā hañsne vaale bhole-bhāle phuul chaman ke maar ga.e ek lagan kī baat hai jīvan ek lagan hī jīvan hai pūchh na kyā khoyā kyā paayā kyā jiite kyā haar ga.e aane vaalī barkhā dekheñ kyā dikhlā.e āñkhoñ ko ye barkhā barsāte din to bin pirītam be-kār ga.e jab bhī lauTe pyaar se lauTe phuul na pā kar gulshan meñ bhañvre amrit ras kī dhun meñ pal pal sau sau baar ga.e ham se pūchho sāhil vaalo kyā biitī dukhiyāroñ par khevan-hāre biich bhañvar meñ chhoḌ ke jab us paar ga.e
hujuum-dekh-ke-rasta-nahiin-badalte-ham-habib-jalib-ghazals
hujūm dekh ke rasta nahīñ badalte ham kisī ke Dar se taqāzā nahīñ badalte ham hazār zer-e-qadam rāsta ho ḳhāroñ kā jo chal paḌeñ to irāda nahīñ badalte ham isī liye to nahīñ mo'tabar zamāne meñ ki rañg-e-sūrat-e-duniyā nahīñ badalte ham havā ko dekh ke 'jālib' misāl-e-ham-asrāñ bajā ye zom hamārā nahīñ badalte ham
dil-par-jo-zakhm-hain-vo-dikhaaen-kisii-ko-kyaa-habib-jalib-ghazals
dil par jo zaḳhm haiñ vo dikhā.eñ kisī ko kyā apnā sharīk-e-dard banā.eñ kisī ko kyā har shaḳhs apne apne ġhamoñ meñ hai mubtalā zindāñ meñ apne saath rulā.eñ kisī ko kyā bichhḌe hue vo yaar vo chhoḌe hue dayār rah rah ke ham ko yaad jo aa.eñ kisī ko kyā rone ko apne haal pe tanhā.ī hai bahut us anjuman meñ ḳhud pe hañsā.eñ kisī ko kyā vo baat chheḌ jis meñ jhalaktā ho sab kā ġham yādeñ kisī kī tujh ko satā.eñ kisī ko kyā so.e hue haiñ log to hoñge sukūn se ham jāgne kā rog lagā.eñ kisī ko kyā 'jālib' na aa.egā koī ahvāl pūchhne deñ shahr-e-be-hisāñ meñ sadā.eñ kisī ko kyā
apnon-ne-vo-ranj-diye-hain-begaane-yaad-aate-hain-habib-jalib-ghazals
apnoñ ne vo rañj diye haiñ begāne yaad aate haiñ dekh ke us bastī kī hālat vīrāne yaad aate haiñ us nagrī meñ qadam qadam pe sar ko jhukānā paḌtā hai us nagrī meñ qadam qadam par but-ḳhāne yaad aate haiñ āñkheñ pur-nam ho jaatī haiñ ġhurbat ke sahrāoñ meñ jab us rim-jhim kī vaadī ke afsāne yaad aate haiñ aise aise dard mile haiñ na.e dayāroñ meñ ham ko bichhḌe hue kuchh log purāne yārāne yaad aate haiñ jin ke kāran aaj hamāre haal pe duniyā hastī hai kitne zālim chehre jaane pahchāne yaad aate haiñ yuuñ na luTī thī galiyoñ daulat apne ashkoñ kī rote haiñ to ham ko apne ġham-ḳhāne yaad aate haiñ koī to parcham le kar nikle apne garebāñ kā 'jālib' chāroñ jānib sannāTā hai dīvāne yaad aate haiñ
faiz-aur-faiz-kaa-gam-bhuulne-vaalaa-hai-kahiin-habib-jalib-ghazals
'faiz' aur 'faiz' kā ġham bhūlne vaalā hai kahīñ maut ye terā sitam bhūlne vaalā hai kahīñ ham se jis vaqt ne vo shāh-e-suḳhan chhīn liyā ham ko vo vaqt-e-alam bhūlne vaalā hai kahīñ tire ashk aur bhī chamkā.eñgī yādeñ us kī ham ko vo dīda-e-nam bhūlne vaalā hai kahīñ kabhī zindāñ meñ kabhī duur vatan se ai dost jo kiyā us ne raqam bhūlne vaalā hai kahīñ āḳhirī baar use dekh na paa.e 'jālib' ye muqaddar kā sitam bhūlne vaalā hai kahīñ
jiivan-mujh-se-main-jiivan-se-sharmaataa-huun-habib-jalib-ghazals
jīvan mujh se maiñ jīvan se sharmātā huuñ mujh se aage jaane vaalo meñ aatā huuñ jin kī yādoñ se raushan haiñ merī āñkheñ dil kahtā hai un ko bhī maiñ yaad aatā huuñ sur se sāñsoñ kā naatā hai toḌūñ kaise tum jalte ho kyuuñ jiitā huuñ kyuuñ gaatā huuñ tum apne dāman meñ sitāre baiTh kar Tāñko aur maiñ na.e baran lafzoñ ko pahnātā huuñ jin ḳhvāboñ ko dekh ke maiñ ne jiinā sīkhā un ke aage har daulat ko Thukrātā huuñ zahr ugalte haiñ jab mil kar duniyā vaale mīThe boloñ kī vaadī meñ kho jaatā huuñ 'jālib' mere sher samajh meñ aa jaate haiñ isī liye kam-rutba shā.er kahlātā huuñ
aag-hai-phailii-huii-kaalii-ghataaon-kii-jagah-habib-jalib-ghazals
aag hai phailī huī kaalī ghaTāoñ kī jagah bad-duā.eñ haiñ laboñ par ab duāoñ kī jagah intiḳhāb-e-ahl-e-gulshan par bahut rotā hai dil dekh kar zāġh-o-zaġhan ko ḳhushnavāoñ kī jagah kuchh bhī hotā par na hote pāra-pāra jism-o-jāñ rāhzan hote agar un rahnumāoñ kī jagah luT ga.ī is daur meñ ahl-e-qalam kī aabrū bik rahe haiñ ab sahāfī be-savāoñ kī jagah kuchh to aatā ham ko bhī jaañ se guzarne kā maza ġhair hote kaash 'jālib' āshnāoñ kī jagah
kabhii-to-mehrbaan-ho-kar-bulaa-len-habib-jalib-ghazals
kabhī to mehrbāñ ho kar bulā leñ ye mahvash ham faqīroñ kī duā leñ na jaane phir ye rut aa.e na aa.e javāñ phūloñ kī kuchh ḳhushbū churā leñ bahut ro.e zamāne ke liye ham zarā apne liye aañsū bahā leñ ham un ko bhūlne vaale nahīñ haiñ samajhte haiñ ġham-e-daurāñ kī chāleñ hamārī bhī sambhal jā.egī hālat vo pahle apnī zulfeñ to sambhāleñ nikalne ko hai vo mahtāb ghar se sitāroñ se kaho nazreñ jhukā leñ ham apne rāste par chal rahe haiñ janāb-e-shaiḳh apnā rāsta leñ zamāna to yūñhī rūThā rahegā chalo 'jālib' unheñ chal kar manā leñ
is-shahr-e-kharaabii-men-gam-e-ishq-ke-maare-habib-jalib-ghazals
is shahr-e-ḳharābī meñ ġham-e-ishq ke maare zinda haiñ yahī baat baḌī baat hai pyāre ye hañstā huā chāñd ye pur-nūr sitāre tābinda o pā.inda haiñ zarroñ ke sahāre hasrat hai koī ġhuncha hameñ pyaar se dekhe armāñ hai koī phuul hameñ dil se pukāre har sub.h mirī sub.h pe rotī rahī shabnam har raat mirī raat pe hañste rahe taare kuchh aur bhī haiñ kaam hameñ ai ġham-e-jānāñ kab tak koī uljhī huī zulfoñ ko sañvāre
na-dagmagaae-kabhii-ham-vafaa-ke-raste-men-habib-jalib-ghazals
na Dagmagā.e kabhī ham vafā ke raste meñ charāġh ham ne jalā.e havā ke raste meñ kise lagā.e gale aur kahāñ kahāñ Thahre hazār ġhuncha-o-gul haiñ sabā ke raste meñ ḳhudā kā naam koī le to chauñk uThte haiñ mile haiñ ham ko vo rahbar ḳhudā ke raste meñ kahīñ salāsil-e-tasbīh aur kahīñ zunnār bichhe haiñ daam bahut mudda.ā ke raste meñ abhī vo manzil-e-fikr-o-nazar nahīñ aa.ī hai aadmī abhī jurm o sazā ke raste meñ haiñ aaj bhī vahī dār-o-rasan vahī zindāñ har ik nigāh-e-rumūz-āshnā ke raste meñ ye nafratoñ kī fasīleñ jahālatoñ ke hisār na rah sakeñge hamārī sadā ke raste meñ miTā sake na koī sail-e-inqalāb jinheñ vo naqsh chhoḌe haiñ ham ne vafā ke raste meñ zamāna ek sā 'jālib' sadā nahīñ rahtā chaleñge ham bhī kabhī sar uThā ke raste meñ
vo-dekhne-mujhe-aanaa-to-chaahtaa-hogaa-habib-jalib-ghazals
vo dekhne mujhe aanā to chāhtā hogā magar zamāne kī bātoñ se Dar gayā hogā use thā shauq bahut mujh ko achchhā rakhne kā ye shauq auroñ ko shāyad burā lagā hogā kabhī na hadd-e-adab se baḌhe the diida o dil vo mujh se kis liye kisī baat par ḳhafā hogā mujhe gumān hai ye bhī yaqīn kī had tak kisī se bhī na vo merī tarah milā hogā kabhī kabhī to sitāroñ kī chhāñv meñ vo bhī mire ḳhayāl meñ kuchh der jāgtā hogā vo us kā saada o ma.asūm vālehāna-pan kisī bhī jug meñ koī devtā bhī kyā hogā nahīñ vo aayā to 'jālib' gila na kar us kā na-jāne kyā use darpesh mas.ala hogā
ye-soch-kar-na-maail-e-fariyaad-ham-hue-habib-jalib-ghazals
ye soch kar na mā.il-e-fariyād ham hue ābād kab hue the ki barbād ham hue hotā hai shād-kām yahāñ kaun bā-zamīr nāshād ham hue to bahut shaad ham hue parvez ke jalāl se Takrā.e ham bhī haiñ ye aur baat hai ki na farhād ham hue kuchh aaise bhā ga.e hameñ duniyā ke dard-o-ġham kū-e-butāñ meñ bhūlī huī yaad ham hue 'jālib' tamām umr hameñ ye gumāñ rahā us zulf ke ḳhayāl se āzād ham hue
ye-jo-shab-ke-aivaanon-men-ik-halchal-ik-hashr-bapaa-hai-habib-jalib-ghazals
ye jo shab ke aivānoñ meñ ik halchal ik hashr bapā hai ye jo añdherā simaT rahā hai ye jo ujālā phail rahā hai ye jo har dukh sahne vaalā dukh kā mudāvā jaan gayā hai mazlūmoñ majbūroñ kā ġham ye jo mire sheroñ meñ Dhalā hai ye jo mahak gulshan gulshan hai ye jo chamak aalam aalam hai marxism hai marxism hai marxism hai marxism hai
us-ne-jab-hans-ke-namaskaar-kiyaa-habib-jalib-ghazals
us ne jab hañs ke namaskār kiyā mujh ko insān se autār kiyā dasht-e-ġhurbat meñ dil-e-vīrāñ ne yaad jamunā ko ka.ī baar kiyā pyaar kī baat na pūchho yaaro ham ne kis kis se nahīñ pyaar kiyā kitnī ḳhvābīda tamannāoñ ko us kī āvāz ne bedār kiyā ham pujārī haiñ butoñ ke 'jālib' ham ne ka.abe meñ bhī iqrār kiyā
ik-shakhs-baa-zamiir-miraa-yaar-mushafii-habib-jalib-ghazals
ik shaḳhs bā-zamīr mirā yaar 'mus.hafī' merī tarah vafā kā parastār 'mus.hafī' rahtā thā kaj-kulāh amīroñ ke darmiyāñ yaksar liye hue mirā kirdār 'mus.hafī' dete haiñ daad ġhair ko kab ahl-e-lucknow kab daad kā thā un se talabgār 'mus.hafī' nā-qadrī-e-jahāñ se ka.ī baar aa ke tañg ik umr sher se rahā bezār 'mus.hafī' darbār meñ thā baar kahāñ us ġharīb ko barsoñ misāl-e-'mīr' phirā ḳhvār 'mus.hafī' maiñ ne bhī us galī meñ guzārī hai ro ke umr miltā hai us galī meñ kise pyaar 'mus.hafī'
log-giiton-kaa-nagar-yaad-aayaa-habib-jalib-ghazals
log gītoñ kā nagar yaad aayā aaj pardes meñ ghar yaad aayā jab chale aa.e chaman-zār se ham iltifāt-e-gul-e-tar yaad aayā terī begāna-nigāhī sar-e-shām ye sitam tā-ba-sahar yaad aayā ham zamāne kā sitam bhuul ga.e jab tirā lutf-e-nazar yaad aayā to bhī masrūr thā is shab sar-e-bazm apne sheroñ kā asar yaad aayā phir huā dard-e-tamannā bedār phir dil-e-ḳhāk-basar yaad aayā ham jise bhuul chuke the 'jālib' phir vahī rāhguzar yaad aayā
baaten-to-kuchh-aisii-hain-ki-khud-se-bhii-na-kii-jaaen-habib-jalib-ghazals
bāteñ to kuchh aisī haiñ ki ḳhud se bhī na kī jaa.eñ sochā hai ḳhamoshī se har ik zahr ko pī jaa.eñ apnā to nahīñ koī vahāñ pūchhne vaalā us bazm meñ jaanā hai jinheñ ab to vahī jaa.eñ ab tujh se hameñ koī ta.alluq nahīñ rakhnā achchhā ho ki dil se tirī yādeñ bhī chalī jaa.eñ ik umr uThā.e haiñ sitam ġhair ke ham ne apnoñ kī to ik pal bhī jafā.eñ na sahī jaa.eñ 'jālib' ġham-e-daurāñ ho ki yād-e-ruḳh-e-jānāñ tanhā mujhe rahne deñ mire dil se sabhī jaa.eñ
dil-e-pur-shauq-ko-pahluu-men-dabaae-rakkhaa-habib-jalib-ghazals
dil-e-pur-shauq ko pahlū meñ dabā.e rakkhā tujh se bhī ham ne tirā pyaar chhupā.e rakkhā chhoḌ is baat ko ai dost ki tujh se pahle ham ne kis kis ko ḳhayāloñ meñ basā.e rakkhā ġhair mumkin thī zamāne ke ġhamoñ se fursat phir bhī ham ne tirā ġham dil meñ basā.e rakkhā phuul ko phuul na kahte so use kyā kahte kyā huā ġhair ne collar pe sajā.e rakkhā jaane kis haal meñ haiñ kaun se shahroñ meñ haiñ vo zindagī apnī jinheñ ham ne banā.e rakkhā haa.e kyā log the vo log parī-chehra log ham ne jin ke liye duniyā ko bhulā.e rakkhā ab mileñ bhī to na pahchān sakeñ ham un ko jin ko ik umr ḳhayāloñ meñ basā.e rakkhā
kuchh-log-khayaalon-se-chale-jaaen-to-soen-habib-jalib-ghazals
kuchh log ḳhayāloñ se chale jaa.eñ to so.eñ biite hue din raat na yaad aa.eñ to so.eñ chehre jo kabhī ham ko dikhā.ī nahīñ deñge aa aa ke tasavvur meñ na taḌpā.eñ to so.eñ barsāt kī rut ke vo tarab-rez manāzir siine meñ na ik aag sī bhaḌkā.eñ to so.eñ sub.hoñ ke muqaddar ko jagāte hue mukhḌe āñchal jo nigāhoñ meñ na lahrā.eñ to so.eñ mahsūs ye hotā hai abhī jaag rahe haiñ lahore ke sab yaar bhī so jaa.eñ to so.eñ
kam-puraanaa-bahut-nayaa-thaa-firaaq-habib-jalib-ghazals
kam purānā bahut nayā thā firāq ik ajab ramz-āshnā thā firāq duur vo kab huā nigāhoñ se dhaḌkanoñ meñ basā huā hai firāq shām-e-ġham ke sulagte sahrā meñ ik umañDtī huī ghaTā thā firāq amn thā pyaar thā mohabbat thā rañg thā nuur thā navā thā firāq fāsle nafratoñ ke miT jaa.eñ pyaar hī pyaar sochtā thā firāq ham se rañj-o-alam ke māroñ ko kis mohabbat se dekhtā thā firāq ishq insāniyat se thā us ko har ta.assub se māvarā thā firāq
darakht-suukh-gae-ruk-gae-nadii-naale-habib-jalib-ghazals
daraḳht suukh ga.e ruk ga.e nadī naale ye kis nagar ko ravāna hue haiñ ghar vaale kahāniyāñ jo sunāte the ahd-e-rafta kī nishāñ vo gardish-e-ayyām ne miTā Daale maiñ shahr shahr phirā huuñ isī tamannā meñ kisī ko apnā kahūñ koī mujh ko apnā le sadā na de kisī mahtāb ko añdheroñ meñ lagā na de ye zamāna zabān par taale koī kiran hai yahāñ to koī kiran hai vahāñ dil o nigāh ne kis darja rog haiñ paale hamīñ pe un kī nazar hai hamīñ pe un kā karam ye aur baat yahāñ aur bhī haiñ dil vaale kuchh aur tujh pe khuleñgī haqīqateñ 'jālib' jo ho sake to kisī kā fareb bhī khā le
bahut-raushan-hai-shaam-e-gam-hamaarii-habib-jalib-ghazals
bahut raushan hai shām-e-ġham hamārī kisī kī yaad hai hamdam hamārī ġhalat hai lā-ta.alluq haiñ chaman se tumhāre phuul aur shabnam hamārī ye palkoñ par na.e aañsū nahīñ haiñ azal se aañkh hai pur-nam hamārī har ik lab par tabassum dekhne kī tamannā kab huī hai kam hamārī kahī hai ham ne ḳhud se bhī bahut kam na pūchho dāstān-e-ġham hamārī
bhulaa-bhii-de-use-jo-baat-ho-gaii-pyaare-habib-jalib-ghazals
bhulā bhī de use jo baat ho ga.ī pyāre na.e charāġh jalā raat ho ga.ī pyāre tirī nigāh-e-pashemāñ ko kaise dekhūñgā kabhī jo tujh se mulāqāt ho ga.ī pyāre na terī yaad na duniyā kā ġham na apnā ḳhayāl ajiib sūrat-e-hālāt ho ga.ī pyāre udaas udaas haiñ sham.eñ bujhe bujhe sāġhar ye kaisī shām-e-ḳharābāt ho ga.ī pyāre vafā kā naam na legā koī zamāne meñ ham ahl-e-dil ko agar maat ho ga.ī pyāre tumheñ to naaz bahut dostoñ pe thā 'jālib' alag-thalag se ho kyā baat ho ga.ī pyāre
phir-kabhii-laut-kar-na-aaenge-habib-jalib-ghazals
phir kabhī lauT kar na ā.eñge ham tirā shahr chhoḌ jā.eñge dūr-uftāda bastiyoñ meñ kahīñ terī yādoñ se lau lagā.eñge sham-e-māh-o-nujūm gul kar ke āñsuoñ ke diye jalā.eñge āḳhirī baar ik ġhazal sun lo āḳhirī baar ham sunā.eñge sūrat-e-mauja-e-havā 'jālib' saarī duniyā kī ḳhaak uḌā.eñge
vatan-ko-kuchh-nahiin-khatra-nizaam-e-zar-hai-khatre-men-habib-jalib-ghazals
vatan ko kuchh nahīñ ḳhatra nizām-e-zar hai ḳhatre meñ haqīqat meñ jo rahzan hai vahī rahbar hai ḳhatre meñ jo baiThā hai saf-e-mātam bichhā.e marg-e-zulmat par vo nauhagar hai ḳhatre meñ vo dānish-var hai ḳhatre meñ agar tashvīsh lāhaq hai to sultānoñ ko lāhaq hai na terā ghar hai ḳhatre meñ na merā ghar hai ḳhatre meñ jahāñ 'iqbāl' bhī nazr-e-ḳhat-e-tansīḳh ho 'jālib' vahāñ tujh ko shikāyat hai tirā jauhar hai ḳhatre meñ
miir-o-gaalib-bane-yagaanaa-bane-habib-jalib-ghazals
'mīr'-o-'ġhālib' bane 'yagānā' bane aadmī ai ḳhudā ḳhudā na bane maut kī dastaras meñ kab se haiñ zindagī kā koī bahāna bane apnā shāyad yahī thā jurm ai dost bā-vafā ban ke be-vafā na bane ham pe ik e'tirāz ye bhī hai be-navā ho ke be-navā na bane ye bhī apnā qusūr kyā kam hai kisī qātil ke ham-navā na bane kyā gila sañg-dil zamāne kā āshnā hī jab āshnā na bane chhoḌ kar us galī ko ai 'jālib' ik haqīqat se ham fasāna bane
jhuutii-khabren-ghadne-vaale-jhuute-sher-sunaane-vaale-habib-jalib-ghazals
jhūTī ḳhabreñ ghaḌne vaale jhūTe sher sunāne vaale logo sabr ki apne kiye kī jald sazā haiñ paane vaale dard āñkhoñ se bahtā hai aur chehra sab kuchh kahtā hai ye mat likkho vo mat likkho aa.e baḌe samjhāne vaale ḳhud kāTeñge apnī mushkil ḳhud pā.eñge apnī manzil rāhzanoñ se bhī bad-tar haiñ rāh-numā kahlāne vaale un se pyaar kiyā hai ham ne un kī raah meñ ham baiThe haiñ nā-mumkin hai jin kā milnā aur nahīñ jo aane vaale un par bhī hañstī thī duniyā āvāzeñ kastī thī duniyā 'jālib' apnī hī sūrat the ishq meñ jaañ se jaane vaale
bade-bane-the-jaalib-saahab-pite-sadak-ke-biich-habib-jalib-ghazals
baḌe bane the 'jālib' sāhab piTe saḌak ke biich golī khaa.ī lāThī khaa.ī gire saḌak ke biich kabhī girebāñ chaak huā aur kabhī huā dil ḳhuun hameñ to yūñhī mile suḳhan ke sile saḌak ke biich jism pe jo zaḳhmoñ ke nishāñ haiñ apne tamġhe haiñ milī hai aisī daad vafā kī kise saḌak ke biich
sher-se-shaairii-se-darte-hain-habib-jalib-ghazals
sher se shā.irī se Darte haiñ kam-nazar raushnī se Darte haiñ log Darte haiñ dushmanī se tirī ham tirī dostī se Darte haiñ dahr meñ āh-e-be-kasāñ ke sivā aur ham kab kisī se Darte haiñ ham ko ġhairoñ se Dar nahīñ lagtā apne ahbāb hī se Darte haiñ dāvar-e-hashr baḳhsh de shāyad haañ magar maulvī se Darte haiñ rūThtā hai to ruuTh jaa.e jahāñ un kī ham be-ruḳhī se Darte haiñ har qadam par hai mohtasib 'jālib' ab to ham chāñdnī se Darte haiñ
kahiin-aah-ban-ke-lab-par-tiraa-naam-aa-na-jaae-habib-jalib-ghazals
kahīñ aah ban ke lab par tirā naam aa na jaa.e tujhe bevafā kahūñ maiñ vo maqām aa na jaa.e zarā zulf ko sambhālo mirā dil dhaḌak rahā hai koī aur tā.ir-e-dil tah-e-dām aa na jaa.e jise sun ke TuuT jaa.e mirā aarzū bharā dil tirī anjuman se mujh ko vo payām aa na jaa.e vo jo manziloñ pe lā kar kisī ham-safar ko lūTeñ unhīñ rahzanoñ meñ terā kahīñ naam aa na jaa.e isī fikr meñ haiñ ġhaltāñ ye nizām-e-zar ke bande jo tamām-e-zindagī hai vo nizām aa na jaa.e ye mah o nujūm hañs leñ mire āñsuoñ pe 'jālib' mirā māhtāb jab tak lab-e-bām aa na jaa.e
phir-dil-se-aa-rahii-hai-sadaa-us-galii-men-chal-habib-jalib-ghazals
phir dil se aa rahī hai sadā us galī meñ chal shāyad mile ġhazal kā patā us galī meñ chal kab se nahīñ huā hai koī sher kaam kā ye sher kī nahīñ hai fazā us galī meñ chal vo baam o dar vo log vo rusvā.iyoñ ke zaḳhm haiñ sab ke sab aziiz judā us galī meñ chal us phuul ke baġhair bahut jī udaas hai mujh ko bhī saath le ke sabā us galī meñ chal duniyā to chāhtī hai yūñhī fāsle raheñ duniyā ke mashvaroñ pe na jā us galī meñ chal be-nūr o be-asar hai yahāñ kī sadā-e-sāz thā us sukūt meñ bhī mazā us galī meñ chal 'jālib' pukārtī haiñ vo sholā-navā.iyāñ ye sard rut ye sard havā us galī meñ chal
ye-aur-baat-terii-galii-men-na-aaen-ham-habib-jalib-ghazals-3
ye aur baat terī galī meñ na aa.eñ ham lekin ye kyā ki shahr tirā chhoḌ jaa.eñ ham muddat huī hai kū-e-butāñ kī taraf ga.e āvārgī se dil ko kahāñ tak bachā.eñ ham shāyad ba-qaid-e-zīst ye saa.at na aa sake tum dāstān-e-shauq suno aur sunā.eñ ham be-nūr ho chukī hai bahut shahr kī fazā tārīk rāstoñ meñ kahīñ kho na jaa.eñ ham us ke baġhair aaj bahut jī udaas hai 'jālib' chalo kahīñ se use DhūñDh laa.eñ ham
yuun-vo-zulmat-se-rahaa-dast-o-garebaan-yaaro-habib-jalib-ghazals
yuuñ vo zulmat se rahā dast-o-garebāñ yaaro us se larzāñ the bahut shab ke nigahbāñ yaaro us ne har-gām diyā hausla-e-tāza hameñ vo na ik pal bhī rahā ham se gurezāñ yaaro us ne maanī na kabhī tīrgī-e-shab se shikast dil añdheroñ meñ rahā us kā farozāñ yaaro us ko har haal meñ jiine kī adā aatī thī vo na hālāt se hotā thā pareshāñ yaaro us ne bātil se na tā-zīst kiyā samjhauta dahr meñ us sā kahāñ sāhab-e-īmāñ yaaro us ko thī kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat us sā hindū na koī us sā musalmāñ yaaro us ne sulatānī-e-jamhūr ke naġhme likkhe ruuh shāhoñ kī rahī us se pareshāñ yaaro apne ash.ār kī sham.oñ se ujālā kar ke kar gayā shab kā safar kitnā vo āsāñ yaaro us ke gītoñ se zamāne ko sañvāreñ yaaro rūh-e-'sāhir' ko agar karnā hai shādāñ yaaro
dil-kii-baat-labon-par-laa-kar-ab-tak-ham-dukh-sahte-hain-habib-jalib-ghazals
dil kī baat laboñ par lā kar ab tak ham dukh sahte haiñ ham ne sunā thā is bastī meñ dil vaale bhī rahte haiñ biit gayā sāvan kā mahīna mausam ne nazreñ badlīñ lekin in pyāsī āñkhoñ se ab tak aañsū bahte haiñ ek hameñ āvāra kahnā koī baḌā ilzām nahīñ duniyā vaale dil vāloñ ko aur bahut kuchh kahte haiñ jin kī ḳhātir shahr bhī chhoḌā jin ke liye badnām hue aaj vahī ham se begāne begāne se rahte haiñ vo jo abhī is rāhguzar se chāk-garebāñ guzrā thā us āvāra dīvāne ko 'jālib' 'jālib' kahte haiñ

English Transliteration (Roman Urdu) of Urdu Poetry Dataset

Welcome to the English Transliteration (Roman Urdu) of Urdu Poetry Dataset! This dataset provides a collection of Urdu poetry transliterated into Roman script, making the rich literary heritage of Urdu accessible to a broader audience. Each entry in the dataset includes two columns:

  • Title: The transliterated title of the poem in Roman Urdu.
  • Poem: The full text of the poem in Roman Urdu.

This dataset is ideal for researchers and developers working on transliteration models, text generation, cross-lingual studies, and cultural analysis.


Dataset Overview

The English Transliteration (Roman Urdu) of Urdu Poetry Dataset offers a diverse array of Urdu poems that have been converted into Roman script (commonly known as Roman Urdu). By providing both the title and the complete poem in a familiar script, the dataset serves as a valuable resource for:

  • Transliteration research: Evaluating and training models to convert text between scripts.
  • Text generation: Building language models capable of generating poetic text.
  • Comparative literary studies: Analyzing poetic forms, themes, and cultural expressions in Urdu literature.

Each record in the dataset contains:

  • Poem Title: The title of the poem, transliterated into Roman Urdu.
  • Poem Text: The complete text of the poem in Roman Urdu.

Data Format

The dataset is available in standard tabular formats such as CSV or JSON. Each entry includes the following columns:

  • title (string): The transliterated title of the poem.
  • poem (string): The full text of the poem, transliterated into Roman Urdu.

Example (CSV format):

title,poem
"Dil Ki Kitaab","Yeh ishq nahin aasan, bas itna samajh lijiye..."
"Phoolon Ka Silsila","Khushbuon ki mehfil mein, ek phool dastaan kehta hai..."
How to Load the Dataset
You can easily load the dataset using the Hugging Face Datasets library. Below is an example in Python:

python
Copy
Edit
from datasets import load_dataset

# Replace 'your-username/roman-urdu-poetry' with the actual repository name on Hugging Face Hub
dataset = load_dataset("your-username/roman-urdu-poetry")

# Accessing the train split (if applicable, otherwise adjust accordingly)
print(dataset['train'][0])
Note: Make sure you have installed the datasets library:

bash
Copy
Edit
pip install datasets
Intended Use Cases
Transliteration Research: Develop and evaluate models for transliterating text between scripts.
Text Generation: Train language models to generate poetry in Roman Urdu.
Cross-Lingual Analysis: Examine stylistic and cultural variations in poetic expression.
Literary Studies: Explore themes, structures, and narrative techniques in Urdu poetry through a transliterated lens.
License
This dataset is distributed under the MIT License. See the LICENSE file for more details.

Contributing
Contributions are welcome! If you have additional data, improvements, or suggestions, please open an issue or submit a pull request on the GitHub repository.

Citation
If you use this dataset in your research, please consider citing it as follows:

bibtex
Copy
Edit
@dataset-ReySajju742/English-Urdu-Dataset,
  author       = Sajjad Rasool,
  title        = English Transliteration (Roman Urdu) of Urdu Poetry Dataset,
  year         = 2025,
  publisher    = ReySajju742,
  url          = https://huggingface.co/datasets/ReySajju742/English-Urdu-Dataset,
}
Contact
For any questions, suggestions, or issues, please contact sajjjad.rasool@gmail.com
Downloads last month
0